Reciter: Farhan Ali Waris

Baba Ka Kartay Kartay Intazar Jab Thak Gai Sughra
Ro Ro Kay Apnay Baba Ko Sughra Nay Khat Likha

Tum Gaye Ghar Say Meri Lutt Gai Duniya Baba
Yad Ay Na Tumhay Fatima Sughra Baba

Karbala Ja Kay Hamen Bhool Gaye Kya Baba
Yad Ay Na Tumhay Fatima Sughra Baba

Kya Kahun Us Nay Hai Kis Tarha Say Tarhpaya Mujhay
Eid Ka Chand Falak Par Jo Nazar Aaya Mujhay
Us Gharhi Dill Mein Meray Dard Utha Tha Baba
Yad Aai Na Tumhen Fatima Sughra Baba

Yad Aai Na Tumhen Fatima Sughra Baba

Baba Teen Eiden Guzari Hain Yahan Ro Ro Kar
Mujh Ko Eidi Mein Milay Ashk E Aza Zakhm E Jigar
Mainy Har Eid Py Yeh Noha Parha Tha Baba
Yad Aai Na Tumhain Fatima Sughra Baba

Yad Aai Na Tumhain Fatima Sughra Baba

Ab To Asghar Bhi Mera Ghutniyon Chalta Ho Ga
Yad Kar Kay Mujhay Jhoolay Mein Machalta Ho Ga
Mujh Ko Sab Yaad Hai Par Zulm Hai Kaisa Baba
Yad Aai Na Tumhain Fatima Sughra Baba

Yad Aai Na Tumhain Fatima Sughra Baba

Sunti Hoon Dasht Mein Akbar Ki Rachai Shadi
Bhai Qasim Ky Bhi Hathon Mein Lagi Hai Mehndi
Jab Sakina Ko Wahan …. Diya Tha Baba
Yad Aai Na Tumhen Fatima Sughra Baba

Yaad Aai Na Tumhain Fatima Sughra Baba

Baba Qismat Say Muqaddar Say Gila Kya Karna
Meray Akbar Nay Bhula Dala Jo Waada Apna
Khat Mera Dasht Mein Jab Aap Nay Paya Baba
Yaad Aai Na Tumhain Fatima Sughra Baba

Yaad Aai Na Tumhen Fatima Sughra Baba

Jab Nazar Aatay Hain Bachon Kay Yeh Khali Hujray
Yaad Phir Aon O Muhammad Ki Sataati Hai Mujhay
Sab Ki Yaadon Nay Mujhay Khoon Rulaya Baba
Yaad Aai Na Tumhen Fatima Sughra Baba

Yaad Aai Na Tumhen Fatima Sughra Baba

Kaisay Farhan Yeh Mazhar Nay Masayeb Likhay
Fatima Sughra Kay Ehsaas Qalam Band Kiye
Kon Ab Aa Kay Mujhay Dy Ga Dilaasa Baba
Yaad Aai Na Tumhen Fatima Sughra Baba

Yaad Aai Na Tumhen Fatima Sughra Baba

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply