Reciter: Tejani Brothers

(Ya hussain) x8

(Ye Matam, Ye matam, shabbir tera matam) x2

1. Ta hashr rahenga jaari Ta hashr rehega qayam
(Ye Matam, Ye matam, shabbir tera matam) x2

2. Ye farshe aza ye giriya ye majlis matam nawha,
Ye ashko(n) ki barsaate ye khoon ka behta dariya
Hum karte rahe he payhum, hum karte rahege har dam

(Ye Matam, Ye matam, shabbir tera matam) x2

3. Hum matam karne waale hum nawha parhne waale,
Beshak hai duwaaye zehra shabbir pa rone waale,
Ye ashk nahi hai waiz ye zakhmo(n) ka hai marhum

Shah Ast Hussain, Badhshah Ast Hussain, Dee(n) Ast Hussain, Dee(n) panah ast Hussain

4. Ay munkire matam sunle matam se na rakh bezaari
Zehra ki amanat hai ye kar tu bhi amanatdaari
Milta hai naseebo(n) se ye zehra ke gharane ka gham

(Ye Matam, Ye matam, shabbir tera matam) x2

5. Zainab ne kiyaa ye matam jab shaam ke zindaano me,
Lagta tha qayamat aayi kuffar ke aywaano me,
Choda so baras guzre hai(n), matam na huwa abtak kam

(Ye Matam, Ye matam, shabbir tera matam) x2

6. Zanjeer ka ye matam hai sajaad ke zanjeero(n) ka,
Mitsakta nahi hai matam shabbir tere bacho(n) ka,
Marsakta nahi ye matam, gar mar bhi jayege hum

(Ye Matam, Ye matam, shabbir tera matam) x2

7. Zehra ki tamana hai zainab ke liye pursa hai,
Na sirf azaa khano me ye aag pe bhi hota hai
Rehta hai saro(n) par apne, abbas ali ka parcham

(Ye Matam, Ye matam, shabbir tera matam) x2

8. Ye farshe aza ye giriya ye majlis matam nawha,
Ye ashko(n) ki barsaate ye khoon ka behta dariya
Hum karte rahe he payhum, hum karte rahege har dam

(Ye Matam, Ye matam, shabbir tera matam) x2

9. Shabbir tera ye matam naslo me rahega baqi,
“Rehan” ibadat hai ye maula ki matamdaari,
Hum matam hi karte ho, ay kaash nikal jaaye dam

(Ye Matam, Ye matam, shabbir tera matam) x2

(Ya hussain) x8

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply