Reciter: Farhan Ali Waris

Sad Shukar Mery Mola Sad Shukar Mery Mola
Zehra Ky Aansoo’on Sy Takhleeq Jo Hua Tha
Kaaly Libas Wala Yeh Matami Qabeela
Matam Hamara Maslak Majlis Hamara Mazhab
Har Matami Ky Seeney Par Yeh Jo Nishan Hain
Yeh Hussaini Qabeelaly Ki Pehchan Hai

Is Ki Tehzeeb Mein Hai Basi Karbala
Aur Is Ki Gawahi Mein Dekho Karbala
Sab Ky Ghar Py Alam Dekho Abbas Ka
Bachy Bachy Ky Lab Par Yehi Hai Sada

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Apny Bachon Ko Taleem Den Ham Sada
Majlis E Shah E Deen Hai Tera Madrisa
Maan Ki Aghosh Mein Tu Ny Nohay Suny
In Hi Nohon Sy Duniya Ko Batlaye Ga

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Ankh Mein Ansoo’on Ka Yeh Sawan Liye
Sirf Matam Kary Hath Jab Bhi Uthy
Yeh Nishani Hai Sheh Ky Azadar Ki
Kaly Kaprhy Badan Par Gawahi Bany

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Jab Kahin Bhi Nazar Ayen Mashk O Alam
Dekh Kar Yeh Alam Ankh Ho Jaye Namm
Yeh Nishani Wafa Aur Wafadar Ki
Is Alam Ki Hi Nisbat Sy Kehty Hain Hum

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Aathween Ko Jo Parcham Sajaty Hain Hum
Aur Bachon Ko Saqqa Banaty Hain Hum
Faaqa Karty Hain Hum Roz E Ashoor Ko
Pyasa Reh Kar Jahan Ko Bataty Hain Hum

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Tum Ny Socha Nahi Ahl E Duniya Zara
Ja Baja In Sabeelon Ka Matlab Hai Kya
Apna Naam O Nasab Khud Batati Hain Yeh
Aur Tum Ko Batatay Hain Ahl E Aza

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Shahraahon Py Hain Jo Juloos E Aza
Karbala Ky Shaheedon Ka Hai Mojza
Apny Khoon Mein Nahaye Hain Sab Matami
Khoon Beh Kar Badan Py Yeh Kehny Laga

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Hai Hamary Labon Par Jo Naam E Ali
Yeh Wazeefa Bhi Hai Aur Aqeeda Yehi
Hum Muhibban E Haider Hain Bas Is Liye
Jang Nasl E Yazeedi Sy Hai Aaj Bhi

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Is Qabeelay Ky Peer O Jawan Tifl Bhi
Apny Mola Ky Lashkar Ky Hain Askari
Sar Katnay Ko Tayar Hain Har Gharhi
Dekh Kar Is Shujaat Ko Boly Ali

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Is Qabeelay Ki Maaaon Ko Mera Salam
Aur Salam Is Qabeelay Ki Behnon Ky Naam
Bhaiyon Aur Baiton Ka Gham Bhool Kar
Karti Rehti Hai Zikr E Shah E Tishna Gaan

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Deta Rehta Hai Farhan Paigham E Gham
Haq Batata Hai Jo Us Ko Mera Qalam
Ghar Mein Shadi Ho Mazhar To Majlis Bhi Ho
Fakhar Hai Yeh Hamara Khuda Ki Qasam

Yeh Hussaini Qabeelay Ki Pehchan Hai

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply