Khairilamal

Zainab Ka Hai Armaan Lyrics Ali Jee, Ali Shanawar Noha 2012

Reciter: Ali Jee, Ali Shanawar
Recitation Type: Noha
Year: 2012

Urdu Noha Zainab Ka Hai Armaan Lyrics in English and Urdu recited by Ali Jee and Ali Shanawar in 2012. Find out more noha lyrics by Ali Shanawar and Ali Jee similar to lyrics of Zainab Ka Hai Armaan on Khairilamal.

Zainab Ka Hai Armaan Lyrics in English

Hussain Hussain Maula…

Zainab Ka Hai Armaan
Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam

Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Sajdy Mein Sar Kataya Islam Ko Bachaya
Shabbir Ny Jan Dy K Wady Ko Hai Nibhaya

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Ahmad Ka Nawasa Tha Zehra Ka Dulara Tha
No Lakh Laeeno Ny Pyasa Jisy Mara Tha

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Iksath Sane Hijri Ko, Dasween Ki Qayamat Ko
Choda So Baras Beety Maula Ki Shahadat Ko

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Islam Ky Mohsin Ka Sar Naizey Py Aya Hai
Sadaat Ky Khaimon Ko Aadaa Ny Jalaya Hai

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Har Sal Muharram Mein, Ik Soag Ky Alam Mein
Masroof Zamana Hai Mazloom Ky Matam Mein

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Ashoor Zamaney Mein Paigham Yeh Lata Hai
Shabbir Ki Ghurbat Par Jo Ashk Bahata Hai

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Zindaan Ky Andhery Mein, Ghurbat Ky Sawerey Mein
Dafnaya Sakina Ko Abid Ny Jo Kurty Mein

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Rehan O Shanawar Ny Sarwar Ny Ali Jee Ny
Nohon Ki Ibadat Sy Abad Rakhy Seeny

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *