Reciter: Farhan Ali Waris
Allah O Akbar Allah O Akbar
Subh E Ashoor Baad E Azaan
Karbala Kar Rahi Hai Fughan
Khaimon Mein Sirf Ho Ga Dhuwan Aaj Sham Tak
Thak Jaye Gi Yeh Umar E Rawan Aaj Sham Tak
Khaimon Mein Sirf Ho Ga Dhuwan Aaj Sham Tak
Kaisi Saji Hai Bargah E Shair E Zuljalal
Akbar Sa Nojawan Koi Qasim Sa Khush Jamal
Abbas Sar Say Ta Ba Qadam Haideri Jalal
Daikhay Sooye Khayam Kisi Ki Nahi Majal
Lekin Jiye Ga Koi Kahan Aaj Sham Tak
Khaimon Mein Sirf Ho Ga Dhuwan Aaj Sham Tak
Bachon Mein Keh Rahi Hain Sakina Khushi Khushi
Do Ek Pehar Ki Bat Hai Apni Yeh Tishnagi
Bhai Hai Lashkaron Pay Har Ek Fard E Hashmi
Qayem Rakhay Khuda Meray Ammu Ki Zindagi
Ho Jayen Gay Watan Ko Rawan Aaj Sham Tak
Khaimon Mein Sirf Ho Ga Dhuwan Aaj Sham Tak
Rakhay Namaz Parh Ky Musallay Lapait Kar
Lo Ahl E Shar Ky Samnay Ja Pahunchay Purr Jigar
Lagta Nahi Hai Zeest Ki Hai Akhri Sahar
Yeh Josh Yeh Kharosh Yeh Ronaq To Hai Magar
Har Samt Ho Gi Aah O Fughan Aaj Sham Tak
Khaimon Mein Sirf Ho Ga Dhuwan Aaj Sham Tak
Akbar Kharhay Huye Ultay Huye Apni Aasteen
Din Dhal Raha Hai Chupnay Lgay Hain Rukh E Haseen
Zainab Ko Ho Chala Hai Aseeri Ka Ab Yaqeen
Lo Waqt E Asar Aa Gaya Shabbir Bhi Nahi
Badlay Ga Bar Bar Samaan Aaj Sham Tak
Khaimon Mein Sirf Ho Ga Dhuwan Aaj Sham Tak
Ashaab O Aqraba Mein Na Baqi Koi Raha
Khaimay Mein Aaye Rotay Huye Shah E Karbala
Bosay Galay Pa Bhai Kay Zainab Nay Jab Liya
Bazu Behan Ka Choom Kay Shabbir Nay Kaha
Hongay Yahan Rasan Kay Nishan Aaj Sham Tak
Khaimon Mein Sirf Ho Ga Dhuwan Aaj Sham Tak
Ghash Mein Parhay Hain Abid E Beemar Farsh Par
Teemar Dar Dorh Rahay Hain Idhar Udhar
Khona Hai Kya Dabber Kisi Ko Nahi Khabar
Ahdaa Uthayen Gay Inhen Bistar Ghaseet Kar
Gardan Mein Ho Ga Taoq E Garaan Aaj Sham Tak
Khaimon Mein Sirf Ho Ga Dhuwan Aaj Sham Tak