Reciter: Shadman Raza

Hai hamari darsgah karbala karbala
haq ka seedha raasta karbala karbala

hai hamari darsgah haq ka seedha rasta
karbala karbala karbala

labaik ya hussain
labaik ya hussain
labaik ya hussain

qadam barhta rahy aao karbala ki taraf
qadam barhta rahy aao karbala ki taraf

Aarzoo e anbiaa ziaarat e hussain hai
nusrat e Imam hai ye Nusrat e Hussain hai
Azm zaaireen ka yeh taaqat e hussain hai
dil sy aa rahi hai ye sadaa, aik hi laga hai karbala
har qadam py barh raha hai dil ka hosla

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

Rok hi nahi saka hai koi khaar phool ko
zaayeron ka ilm kya ho daaeshii jahool ko
kaat den gy zaaireen kufr k bawoon ko
sabr ka liye hain asliha, hath mein hai parcham e wafa
dekhty hain rokta hai kon raasta

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

rahnuma ka rahnuma hai, zaayr e hussain hai
Fatima ki yeh dua hai Zaayer e hussain hai
Is ka martaba barha hai zaair e hussain hai
khidmaton mein mehw dum ba dum, zaairon k kam ayen hum
maadr e hussain sy mily ga hosla

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

Aarzo e murtaza hai yeh dua e fatima
fakhr sy zameen is ko dy rahi hai raasta
mehr o maah hain safar mein chal raha hai kaafla
bhai hai, behn hai aur maan, bachy, boorhy, sath hain jawaan
lashkar e hussain mein hai aaj faisla

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

haideri jo walwala hai ishq e arz e toos hai
azm hai shahaadaton ka maot to aroos hai
karwaan jo chal raha hai matami juloos hai
matam e hussain ka asar, buzdilon k phat gaye jigar
dar k har yazeed apny ghar mein chup gya

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

haq hai ye hussain ka najaf sy karbala chalo
poora khandan ly k misl e shaaha tum barho
choomtay hain rastay har aik zakhm zakhm ko
Abid e hazeen hai raah par, Zainab e hazeen hai hum safar
paon mein parhy hain aablay to kya hua

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

roz o shab tarhap raha hun zindagi ki kya khabar
manta hun maola! hun gunahgar kis qadar
aik bar pahunchun bus main roze e hussain par
bhai aur bhateejay ki talaash, chay (6) mahinay k pisar ki laash
pursa denay aap ko har ik shaheed ka

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
Hamara Hussain Tumhara Hussain Noha Lyrics
rozay mainy rakhy aur khums bhi ada kiya
waqt par parhi namaz, ki nahi kabhi qazaa
matmi main ap ka hun, meri zindagi azaa
dil ki yeh tarhap hai aik bar, aaqa main hun ik gunahgaar
hur ki tarah hath jorh kar hun main kharha

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

karbala hi zindagi meri hai, main hun maatmi
khoon e dil sy jo likhay hain lafz, wo hain roshni
ay qamar! ziarat e hussain ho gi laazmi
zulm k khilaaf har qadam, hai hussainiat mera qalam
door karbala sy main shaheed ho gya to kya

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

labaik ya hussain
labaik ya hussain
labaik ya hussain
labaik ya hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

This Post Has 2 Comments

Leave a Reply