Reciter: Sibtain Haider

Ya Tahira Ya Marziya Ya Raziya Ya Sayeda

Quran Mustafa Hain To Yaseen Fatima
Rab Ky Liye Hain Laiq E Tehseen Fatima

Quran Mustafa Hain To Yaseen Fatima

Jo Aap Ka Nahi Hai Woh Toheed Ka Nahi
Rab Ny Bana Diya Hai Yeh Aaeen Fatima

Quran Mustafa Hain To Yaseen Fatima

Khaliq Ny Un Ko Markaz E Lanat Bana Diya
Karnay Jo Aye Thy Teri Toheen Fatima

Quran Mustafa Hain To Yaseen Fatima

Mola Ali Huye Keh Hussain O Hasan Huye
Lazim Hai Deen K Liye Yeh Teen Fatima

Quran Mustafa Hain To Yaseen Fatima

Karta Hai Wird Surah E Kosar Ka Subh O Sham
Mehdi Hai Teri Madha Ka Shokeen Fatima

Quran Mustafa Hain To Yaseen Fatima

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply