Reciter: Tejani Brothers
Wawayla, Abbas
Wawayla, Abbas
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka

parcham nazar jo agaya has kar sakina ne kahaa,
paani ko leke aaraha hai nehr se ammu mera,
Hojayegi ab pyaas kam, Aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Darya pe qabza karke phir chullo mei paani ko liya,
Ghazi ko phir yaad agaya wada tha maan se jo kiya,
phir bhi na lab hopaaye nam, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Zahra ke dil ki hai dua, akse ali abbas hai,
Wo qafla salaar hai aur bibyon ki aas hai,
Puri khudayi pe karam, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Chillayi roke haay rida zainab ko jab aaya nazar,
Shabbir ne rokar kaha dekha alam jo khun me tar,
huwi kamar ab meri kham, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Hai teer peyvast ankh mei aur hogaye bazu qalam,
Phir mashk ko mun mei liya sine se sambhala alam,
barhta raha wo dambadam, Aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Zamin hai chadar ka jo wo Bazu mei jis se zor hai,
Haaye ghazab ye kya huwa Khayyam mei ye shor hai,
Kaise sahenge hum ye gham, Aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Sab bibiyaa(n) khayme mei ye, karti hai roro ke bayaa(n),
Apne saro(n) se uthgaya, hai bawafa ka saayebaa(n),
Barsaayenge humpar sitam, Aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Dil toot gaya Shabbir ka, usko jab aaya ye nazar,
Gir te huwe rote huwe, pakde huwe apni kamar,
Chillaye maula har qadam, Aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Kuze liye bache sabhi, takte the rasta ghazi ka,
Leykin achanak band huwi wo al atash ki phir sada,
Pyaas mitgayi rab ki qasam, Aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Sar peet ke boley haram, aaya alam abbas ka
Abbas ki ye bawafaayi ka “Tejani” hai sabab,
Allah ne usko diya Babul hawaij ka laqab,
Maango dua teht-e-alam, aaya alam Abbas ka