Fatima Ki Kaneez Lyrics Hashim Sisters Manqabat 2021

Urdu Manqabat Fatima Ki Kaneez Lyrics in Urdu and English recited by Hashim Sisters in 2021. Find out more Manqabat lyrics by Fatima ki Kaneez similar to lyrics of Fatima Ki Kaneez on Khairilamal.

Fatima Ki Kaneez Mp3 Download

To download Fatima Ki Kaneez in mp3 format, please click on the below image.

Fatima Ki Kaneez Lyrics in English

Saqiba Amina Aliya Amila Kamila Nooriya Qaima Raziya Marziya Tahira

Ya Zahra Ya Umme Abeeha Ya Umme Abeeha

Main To Fatima Ki Kaneez Hun
Mera Rabt Bint E Nabi Se Hai
Mujhe Ishq Bint E Ali Se Hai
Mujhe Ishq Un Ke Hai Phool Se
Mujhe Ishq Un Ki Kali Se Hai
Meri Chashm Mein Dar E Sayeda
Mera Sar Hai Unki Janaab Hai

Main To Fatima Ki Kaneez Hun

Mere Jism O Rooh Ko Aey Khuda
Zara Is Tarhan Se Tu Pak Kar
Key Main Har Gunah Se Door Hun
Ho Riza E Fatima Par Nazar
Yeh Mere Liye Kahen Fatima
Tu Hamare Ghar Ka Gulab Hai

Main To Fatima Ki Kaneez Hun

Mujhe Ishq Hai To Batool Se
Mujhe Ishq Hai To Rasool Se
Mujhe Ishq Hai To Ali Se Hai
Mujhe Ishq Hai To Hasan Se Hai
Mujhe Ishq Hai To Hussain Se
Mujhe Ishq 14 Qamar Se Hai

Main To Fatima Ki Kaneez Hun
Zahra

Mujhe Gar Mile Dar E Sayyeda
Karun Jan O Dill Main Wahin Fida
Tha Jo Jazba Umme Banin Ka
Mere Dil Mein Paida Kare Khuda
Mujhe Ishq Un Ki Gali Se Hai
Mujhe Ishq Un Ke Chaman Se Hai
Mujhe Ishq Un Ke Watan Se Hai
Keh Yeh Kehna Bhi To Sawaab Hai

Main To Fatima Ki Kaneez Hun

Chalo Mahum, Adeeya O Saania
Dar E Sayeeda Pe Jhukayen Sar
Suno Majid Aisa Amal Hai Yeh
Keh Jo Pak Karta Hai Har Nazar
Sunein Bibiyan Kahen Mil Ke Sab
Yehi Auraton Ka Nisaab Hai

Main To Fatima Ki Kaneez Hun

Ya Fatima Yeh Jan Hai Fida

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *