Reciter: Farhan Ali Waris
Ashoor Ki Shab
Ashoor Ki Shab Beti Say Kehtay Thay Yeh Sarwar
Ab Tera Bechona Khak Hai Sakina
Ab Tera Bechona Khak Hai Sakina
Kal Nahi Milay Ga Baap Ka Yeh Seena
Ab Tera Bechona Khak Hai Sakina
Mainay Garm Rait Par Na So Sako Gi
Karwaten Badal Badal Kay Rat Bhar Jago Gi
Yad Ayen Gay Hum Aur Kabhi Madina
Ab Tera Bechona Khak Hai Sakina
Dil Shikasta Ho Ky Bhi Guzarni Hain Raten
Yad Ayen Gi Hamaray Baad Sari Baten
Yun Tarhap Tarhap Ky Ab Tujhay Hai Jeena
Ab Tera Bichona Khak Hai Sakina
Zindagi Guzarni Hai Ab Yateem Ho Kar
Jaisay Hum Jiye Hain Apnay Baap Maan Ko Kho Kar
Meray Baad Jeena Seekh Lo Sakina
Ab Tera Bichona Khak Hai Sakina
Han Yeh Shab To Jaag Kar Guzar Lo Magar Kal
Nanhi Nanhi Ankhen Neend Say Jo Hon Gi Bojhal
Kya Karo Gi Us Dam Soch Lo Hazeena
Ab Tera Bichona Khak Hai Sakina
Kal Ka Din Rulaye Ga Tumhen Bhi Aur Hamen Bhi
Waqt Azmaye Ga Tumhen Bhi Aur Hamen Bhi
Sabr Ka Yeh Daman Chorhna Kabhi Nah
Ab Tera Bichona Khak Hai Sakina
Han Yeh Shab Wohi Hai Jis Kay Wastay Khuda Say
Mainay Tum Ko Manga Tha Duaon Kay Saharay
Ab Yeh Imtehan Hai Main Kahun Sakina
Ab Tera Bichona Khak Hai Sakina
Jis Ka Raaj Hai Wafa Ki Sari Kayenaat Par
Pani Kay Liye Usay Na Bhaijna Furat Par
Warna Laot Kar Woh Aaye Ga Kabhi Na
Ab Tera Bichona Khak Hai Sakina
Khak Hai Naseeb Tera Khak Pairahan Hai
Aur Teri Rida Bhi Khak Khak Hi Kafan Hai
Khak Hi Mein Ho Ga Dafn Yeh Nageena
Ab Tera Bichona Khak Hai Sakina
Mazhar Abidi Woh Kaisi Asar Ki Gharhi Thi
Baap Ko Sakina Bey Kasi Say Daikhti Thi
Shah Keh Rahay Thay Alwida Sakina
Ab Tera Bichona Khak Hai Sakina