Reciter: Mir Hasan Mir
Haye Sajjad Haye Haye Sajjad
haye Sajjad Haye Haye Sajjad
haye Sajjad Haye Haye Sajjad
haye Sajjad Haye Haye Sajjad
Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
Durron Sy Jagaya Jata Hai
Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai
Ik Phool Hai Jis Ko Kaanton Par
Din Raat Chalaya Jata Hai
Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
Durron Sy
abbas Ki Ghairat Sy Aksar
abid Ki Aseeri Poochti Hai
kya 4 Baras Ki Behna Ko
zindaan Mein Sulaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai
sadaat K Khaimy Jaltay Hain
shoalon Mein Ghiri Hai Aal E Nabi
phir Aaj Nabi Ki Beti Par
darwaza Giraya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai
reh Reh K Shah E Deen Dekhty Hain
naizay Sy Sakina Ki Jaanib
lagta Hai Ky Pusht E Naaqa Sy
bachi Ko Giraya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai
bibi Ko Qareeb E Laash E Jari
durron Ki Aziyat Dety Hain
abbas Ko Tarhpany K Liye
zainab Ko Sataya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai
ghairat K Sabab Jis Bibi Ny
ghar Mein Bhi Na Dekha Aaina
bay Parda Usay Laany K Liye
darbaar Sajaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai
bin Byaah K Akbar Maary Gaye
armaan Na Nikly Maanon K
taboot Py Akbar Ky Sehra
kuch Yun Bhi Charhaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai
woh Nok E Sinaan Par Ghairat Sy
rukta Hi Nahi, Gir Jata Hai
jab Jab Bhi Sar E Abbas E Jari
naizay Py Charhaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai
parday Mein Bhi Laal E Karb O Bala
roye Na Mera Maola Kiun Kar
afsos Kay Turbat Mein Ab Tak
zahra Ko Rulaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai
Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai