Khairilamal

Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai Lyrics Mir Hasan Mir Noha 2019

Reciter: Mir Hasan Mir
Recitation Type: Noha
Year: 2019

Urdu Noha Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai Lyrics in English and Urdu recited by Mir Hasan Mir. Find out more noha lyrics by Mir Hasan Mir similar to lyrics of Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai on Khairilamal.

Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai Lyrics in English

Haye Sajjad Haye Haye Sajjad
haye Sajjad Haye Haye Sajjad

haye Sajjad Haye Haye Sajjad
haye Sajjad Haye Haye Sajjad

Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
Durron Sy Jagaya Jata Hai

Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

Ik Phool Hai Jis Ko Kaanton Par
Din Raat Chalaya Jata Hai
Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
Durron Sy

abbas Ki Ghairat Sy Aksar
abid Ki Aseeri Poochti Hai
kya 4 Baras Ki Behna Ko
zindaan Mein Sulaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

sadaat K Khaimy Jaltay Hain
shoalon Mein Ghiri Hai Aal E Nabi
phir Aaj Nabi Ki Beti Par
darwaza Giraya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

reh Reh K Shah E Deen Dekhty Hain
naizay Sy Sakina Ki Jaanib
lagta Hai Ky Pusht E Naaqa Sy
bachi Ko Giraya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

bibi Ko Qareeb E Laash E Jari
durron Ki Aziyat Dety Hain
abbas Ko Tarhpany K Liye
zainab Ko Sataya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

ghairat K Sabab Jis Bibi Ny
ghar Mein Bhi Na Dekha Aaina
bay Parda Usay Laany K Liye
darbaar Sajaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

bin Byaah K Akbar Maary Gaye
armaan Na Nikly Maanon K
taboot Py Akbar Ky Sehra
kuch Yun Bhi Charhaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

woh Nok E Sinaan Par Ghairat Sy
rukta Hi Nahi, Gir Jata Hai
jab Jab Bhi Sar E Abbas E Jari
naizay Py Charhaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

parday Mein Bhi Laal E Karb O Bala
roye Na Mera Maola Kiun Kar
afsos Kay Turbat Mein Ab Tak
zahra Ko Rulaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *