Reciter: Farhan Ali Waris
Fatima Zehra Shukriya Zehra
Apnay Ghamon Ko Bhool Gaya Hun Main Bakhuda
Seenay Say Jab Say Mainay Lagaya Gham E Hussain
Kis Munh Say Shukriya Karun Zehra Ka Main Adaa
Un Ky Sabab Naseeb Mein Aaya Gham E Hussain
Tu Salamat Rahay Tu Salamat Rahay
Hamesha Gham E Hussain
Kahan Say Gham Ko Uthanay Ka Hosla Tha
Agar Hussain Tera Gham Na Samnay Hota
Khuda Na Khuwasta Ata Kabhi Jo Yeh Maoqa
Keh Baap Daikhta Karyal Jawan Ka Lasha
To Lash Uthanay Say Pehlay Hi Baap Mar Jata
Agar Hussain Tera Gham Na Samnay Hota
Ajeeb Chahaten Hoti Hain Baap Beti Ki
Agar Hussain Ki Beti Na Hosla Deti
To Beti Baap Ki Maiyat Say Kaisay Hoti Juda
Agar Hussain Tera Gham Na Samnay Hota
Jo Ho Gaye Shaheed Gham E Sheh Ki Raah Mein
Un Ko Liya Hussain Nay Apni Panah Mein
Maayen Yeh Boleen Baiton Ky Lashon Ko Choom Kar
Milna Hamen Imam E Zamaan Ki Sipaah Mein
Tumhari Chaah Ky Qarzay Chukaye Hain Mola
Keh Maan Nay Baiton Ky Lashay Sajaye Hain Mola
Qarar Kaisay Shaheedon Ki Maaon Ko Ata
Agar Hussain Tera Gham Na Samnay Hota
Agar Yeh Marsiye Nohon Mein Na Suna Hota
Keh Lash E Ghazi Py Kis Tarah Tu Nay Sabr Kiya
To Gham Mein Bhai Ky Bhai Ka Dam Nikal Jata
Agar Hussain Tera Gham Na Samnay Hota
Woh Maan Ka Pehloo Shikasta Bhi Tu Nay Daikha Tha
Agar Nazar Mein Na Hota Bicharna Maan Say Tera
To Kaisay Maan Ky Janazay Ko Beta Dafnata
Agar Hussain Tera Gham Na Samnay Hota
Ya Hussain
Haye Farhan O Zill E Raza Kaisa Sabir Tha Mola Mera
Sabr Har Gham Py Karta Raha Zikr Ho Kon Say Sabr Ka
Nana Ky Janay Pay Tera Sabr Mola
Maan Kay Janazay Pay Tera Sabr Mola
Haye Baba Kay Zakhmon Pay Tera Sabr Mola
Han Bhai Ky Marnay Pay Tera Sabr Mola
Haye Akbar Kay Seenay Pay Tera Sabr Mola
Han Qasim Ky Tukrhon Pay Tera Sabr Mola
Masoom Beti Pay Tera Sabr Mola
Haye Asghar Ki Hichki Pay Tera Sabr Mola
Han Lash E Baradar Pay Tera Sabr Mola
Oh Behnon Ki Chadar Pay Tera Sabr Mola
Oh Jaltay Huye Ghar Pay Tera Sabr Mola
Oh Luttay Huye Ghar Pay Tera Sabr Mola
Hussain Ya Hussain