Reciter: Mir Hasan Mir

Akbar, Haye Akbar, Haye Akbar
Akbar, Haye Akbar

Haye
Ghorhy K Gir Ky Jab Ali Akbar Ny Di Sadaa
Apni Kamar Ko Thaam Ky Shabbir Ny Kaha

Karyal Jawan Ki Laash Uthany Chaly Hain Hum
Ary Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Karyal Jawan Ki Laash Uthany Chaly Hain Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Yeh Imtehaan Zaeefi Mein Mujh Ko Nibhana Hai
Akbar Ko Ly K Khaima E Zainab Mein Jana Hai
Rashty Mein Larhkharhayen Na, Shabbir Ky Qadam
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Karyal Jawan Ki Laash Uthany Chaly Hain Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Ghurbat Py Apni Roya Khud Ibn E Fatima
Haye Gir Gir Ky Tay Kiya Hai Yeh Maqtal Ka Faasla
Bas Ghum Sy Door Laash Hai Akbar Ki Do Qadam
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Karyal Jawan Ki Laash Uthany Chaly Hain Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Laasha Hai Is Qadar Ky Larazty Hain Mery Hath
Laasha Hai Yeh Rasool Ka Akbar Ky Sath Sath
Do Laashy Aik Sath Uthayen Gy Kaisy Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Karyal Jawan Ki Laash Uthany Chaly Hain Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Is Haal Mein Kahin Mujhy Zahra Na Dekh Ly
Haye Meri Kamar Jhuki Hui Baba Na Dekh Lain
Aaty Hi Hon Gy Meri Madad Ko Shah E Umam
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Karhyal Jawan Ki Laash Uthany Chaly Hain Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Seeny Mein Keh K Torhi Hai Zaalim Ny Yeh Sinaan
Ab Dekhna Hussain Ki Nikly Gi Kaisy Jaan
Zaalim Ko Yeh Batana Hai Ibn E Ali Hain Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Karyal Jawan Ki Laash Uthany Chaly Hain Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Is Haal Mein Khayam Mein Jaaun Ga Kis Tarah
Zainab Ki Kaainat Uthaun Ga Kis Tarah
Zahra Ka Chand Karb O Bala Mein Hua Hai Kham
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Karyal Jawan Ki Laash Uthany Chaly Hain Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Amman Ky Sath Mil Ky Sinaan Main Ny Khainch Li
Haathon Mein Ab Hamary Taaqat Nahi Rahi
Abbas Kya Gaye Mery Baazoo Huye Qalam
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Karyal Jawan Ki Laash Uthany Chaly Hain Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Baanhen Galy Mein Daal Diin Akbar Ny Jis Garhi
Ibn E Ali Ny Ro Ky Takallum Sadaa Yeh Di
Saansen Bachi Hain Ab Mery Akbar Ky Paas Kamm
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Karyal Jawan Ki Laash Uthany Chaly Hain Hum
Seedhi Ho Ay Kamar, Tujhy Abbas Ki Qasam

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply