Reciter: Farhan Ali Waris

Allah Allah

Chand Nazar Aa Gaya Ramzan Ka
Tohfa Hamen Mil Gaya Subhan Ka

Roza Rakho Roza Rakho
Roza Rakho Roza Rakho Agaya Ramzan
Achay Achay Kam Karo Agaya Ramzan

Hai Masjidon Mein Baharen
Namaziyon Ki Qataren
Karen Sunnat Pay Amal Ham
Aao Ham Khud Ko Sanwaren
Hamd Parhen Naat Parhen Aur Parhen Quran
Achay Achay Kam Karo Agaya Ramzan

Roza Rakho Roza Rakho Agaya Ramzan
Achay Achay Kam Karo Agaya Ramzan

Khidmat E Makhlooq Subh O Sham Karen Gay
Sehr Mein Aftar Mein Yeh Kam Karen Gay
Rizq E Khuda Sab Kay Liye Aam Karen Gay
Bhooka Na Ho Pyasa Na Ho Koi Bhi Insan
Achay Achay Kam Karo Aa Gaya Ramzan

Roza Rakho Roza Rakho Agaya Ramzan
Achay Achay Kam Karo Agaya Ramzan

Dukhi Dilon Ka Sahara Banen Chalo Aao
Ada Yeh Farz Bhi Apna Karen Chalo Aao
Koi Rishta Nahi Tootay
Koi Apna Nahi Roothay
Eid Jab Aye To Ehsas Ghareebon Ka Rahay
Eid Ki Khushiyon Say Mehroom Koi Bhi Na Rahay
Hum Say Khuda Razi Rahay Kehta Hai Farhan
Achay Achay Kam Karo Aa Gaya Ramzan

Qubool Hon Gi Duayen Muaaf Hon Gi Khatayen
Hai Yeh Maoqa Barha Acha Aao Hum Rab Ko Manayen
Jaanta Hun Mera Khuda Hai Barha Rahman
Achay Achay Kam Karo Aa Gaya Ramzan

Roza Rakho Roza Rakho Aa Gaya Ramzan
Achay Achay Kam Karo Aa Gaya Ramzan

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply