Reciter: Farhan Ali Waris
Jab Sham Ka Bazar Aa Gaya
Aur Cheeni Gai Jab Chadar
Jab Zalim Nay Zainab Ka Naam Pukara
Zainab Zainab
Zainab Yeh Pukari Ro Kar
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Phir Us Ky Baad Kuch Na Mangun Gi
Zaalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Lash To Kab Ki Ban Chuki Hun Main
Dil To Bas Adatan Dharahkata Hai
Mar Dalay Na Yeh Sitam Mujh Ko
Meray Bhai Yeh Mujh Ko Lagta Hai
Jo Chahta Hai Zindagi Meri
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Dekh Sajjad Ki Taraf Ghazi
Tujh Say Karti Hai Yeh Fughan Zainab
Ek Yehi Bojh Us Ky Dill Par Hai
Kahan Bazar Aur Kahan Zainab
Hai Aik Raah Us Ky Jeenay Ki
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Kaisy Tahnay Sahun Main Logon Kay
Gham Say Phatnay Laga Hai Dill Mera
Sab Yeh Kehtey Hain Yeh Woh Zainab Hai
Jis Ka Abbas Jaisa Bhai Tha
Zabanen Band Kar Day Tu Sab Ki
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Meri Halat Meri Ghareebi Par
Bhai Naizay Pay Khoon Rota Hai
Amma Roti Hain Aur Baba Bhi
Kiun Keh Ab Waqt Aisa Aya Hai
Ab Aa Rahi Hai Ek Kaneez Meri
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Karbala Bas Gai Hai Ankhon Mein
Marsiya Ban Gaya Mera Chehra
Tazianon Nay Ay Mere Ghazi
Pusht Par Likh Diya Safar Mera
Hai Is Ky Baad Bhi Buka Meri
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Ek Sitam Aur Bhi Yeh Baqi Hai
Kis Tarah Tay Yeh Marhala Ho Ga
Hath Rassi Mein Aur Khulay Sar Hun
Kaisay Sheeren Say Samna Ho Ga
Ya Aye Maot Ya Meray Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Dekhti Hain Mujhay Najis Ankhen
Naam Mera Shaqi Ky Labb Par Hai
Kash Kha Jaye Yeh Zameen Mujh Ko
Aisay Jeenay Say Yehi Behtar Hai
Yeh Akhri Hai Iltija Meri
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Ja Ky Farhan Un Ky Rozay Par
Tum Suna Dena Yeh Kalam Mera
Dill Bhi Zainab Kaha Hai Mazhar Nay
Teri Azmat Ko Hai Salam Mera
Jo Apnay Bhai Ko Yeh Kehti Rahi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Phir Us Ky Bad Kuch Na Mangun Gi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day
Aik Ahsan Kar Mere Ghazi
Zalimon Say Meri Rida Laa Day