Khairilamal

Aisa Alam Hai Kahan Lyrics Nadeem Sarwar Noha 2004

Reciter: Nadeem Sarwar
Recitation Type: Noha
Year: 2004

Aisa Alam Hai Kahan Lyrics written in Urdu and English text recited by Noha Khuwan Nadeem Sarwar in 2004. Find out more noha lyrics by Nadeem Sarwar similar to lyrics of Aisa Alam Hai Kahan on Khairilamal.

Aisa Alam Hai Kahan Lyrics by Nadeem Sarwar in English text

Ya Abbbas Ya Abbas

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Yeh Hai Abu Talib Ka Gharana
Is Py Khuda Ka Khas Karam Hai
Sary Arab Mein Sary Ajam Mein
Is Ko Mila Yeh Jaah O Hasham Hai
In Mein Koi Yaseen O Muzammil
In Mein Koi Sardar E Iram Hai
Us Ki Alag Hi Shan Hai Mola
Jis Ko Mila Haider Ka Alam Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Kaisa Saja Hai Kaisa Haseen Hai
Karbobala Mein Shah Ka Lashkar
Yun To Sabhi Hain Shair E Dilawar
Aon O Muhammad Qasim O Akbar
Ibn E Mazahir Wahb E Qalbi
Joan Bhi Hurr Bhi Sary Dilawar
Apni Jaga Yeh Sab Hain Bahadur
Faoj Mein Teri Ay Sheh E Safdar

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Bad E Namaz E Fajr Ziarat
Tery Alam Ki Karta Hun
Sharf Ghulami Ka Mil Jaye
Main Yeh Wazeefa Parhta Hun
Kar Ky Ziarat Tery Alam Ki
Phir Main Ghar Sy Chalta Hun
Saye Mein Choda Masoomon Ky
Shukr E Khuda Mein Rehta Hun

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Hum To Sag E Darbar E Ali Hai
Khas Yeh Tujh Se Rishta Hai
Jadd Bhi Hai Tera Kull Ka Mola
Tu Bhi Hamara Aaqa Hai
Tery Faqeeron Mein Ay Ghazi
Arsh Nasheen Bhi Rehta Hai
Sindh Mein Aao Maula Qadam Par
Laal Qalandar Kehta Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Sham Ky Lashkar Mein Hal Chal Thi
Kon Jari Ab Ata Hai
Boorhy Jawanon Sy Kehty Thy
Yeh To Ali Ab Ata Hai
Sar Py Khuda Thokar Mein Qaza Hai
Qahr E Jali Ab Ata Hai
Kehna Parhy Ahmad Ko Ali Sy
Tera Wasi Ab Ata Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Teri Shahadat Sy Kunby Par
Kaisi Qayamat Toot Gai
Jis Ko Kaha Karty Thy Aaqa
Qatal Hua Woh Bhai Bhi
Sar Sy Chini Zainab Ky Chadar
Teri Sakina Qaid Hui
Haye Teri Majboori Ghazi
Maan Zehra Yeh Kehti Rahi

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Ab Bhi Aza Khanon Mein Parcham
Tera Aisy Rehta Hai
Sham Dhaly Aisa Lagta Hai
Koi Lipat Ky Rota Hai
Tery Alam Ka Surkh Pharaira
Haye Sakina Kehta Hai
Tum Hi Kya Rehan O Sarwar
Sab Ki Zuban Par Rehta Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Aisa Jawan Hai Kahan

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *