Reciter: Farhan Ali Waris
Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali
Sadiyon Ky Intezar Ka Kaisa Sila Diya
Dono Jahan Ka Sar Meri Janib Jhuka Diya
Terah Rajab Ali Say Yeh Bola Khuda Ka Ghar
Qibla Mujhay To Aap Nay Kaaba Bana Diya
Ali Ali Ali Ali
Ali Ali Mola Haider Mola
Aye Ali Khana E Kaaba Yeh Pukara
Mil Ky Lagao Sabhi Haideri Nara
Ali Ali Ali Ali Ali Ali Haider Mola
Dehnay Manzar Yeh Nabi Aur Wali Aaye Hain
Ghar Hai Yeh Allah Ka Aur Us Mein Ali Aye Hain
Kaisa Haseen Aaj Hai Kaabay Ka Nazara
Kis Ko Mila Wasf Yeh Duniya Mein Dobara
Ali Ali Ali Ali Ali Ali Haider Mola
Zaib E Musalla Thay Nabi Kartay Thay Haq Say Dua
Kon Kuff E Fatima Zehra Hai Khudaya Bata
Kaisa Diya Khaliq E Akbar Nay Ishara
Aaya Dar E Haider E Safdar Pay Sitara
Ali Ali Ali Ali Ali Ali Haider Mola
Raaton Ko Ali Jagay To Khaliq Nay Yeh Socha
Farsh E Shab E Hijrat Ko Sajana Hi Parhay Ga
Khatray Mein Na Parh Jaye Mera Wasf E Khudai
Ek Shab K Liye Is Ko Sulana Hi Parhay Ga
Waqiya Yeh Bhi Shab E Hijrat Ky Sabab Ho Gaya
Wasf E Khudai Ko Bachana Tha Ali So Gaya
Bistar E Ahmad Ky Qareeb Pahuncha Bichara
Lashkar E Kuffar Ka Sardar Pukara
Ali Ali Ali Ali Ali Ali Haider Mola
Jis Py Meray Mola Nay Ek Ghaiz Mein Dali Nazar
Uthta Nahi Duniya Say Uth Jata Hai Woh Ahl E Shar
Bughz E Ali Deta Hai Banday Ko Khasara
Ishq E Ali Nay Hi Muqaddar Ko Sanwara
Ali Ali Ali Ali Ali Ali Haider Mola
Ly Ky Muhammad Say Alam Jatay Rahay Soorma
Guzray Kai Roz Magar Fatha Na Khaibar Hua
Mil Gaya Mushkil Mein Muhammad Ko Sahara
Nad E Ali Parh Ky Muhammad Yeh Pukara
Ali Ali Ali Ali Ali Ali Haider Mola
Mazhar O Farhan Ka Ailaan Zamana Sunay
Haider E Karrar Ki Midhat Mein Tarana Sunay
Kehta Hai Har Aan Yeh Emaan Hamara
Tujh Sa Banaya Hi Nahi Rabb Nay Dobara
Ali Ali Ali Ali Ali Ali Haider Mola