Reciter: Irfan Haider

Ya Ali

Mery Mola Mola Mery Mola Mola Mery Mola Mola Mola

Mola Mola Mola Haider

Meri Dharhkan Sy
Meri Sanson Sy
Mery Lehjy Sy
Meri Baton Sy
Mery Khoon Ky Har Ek Qatry Sy
Bas Aik Sada Yeh Ati Hai
Ali Ali

Chalti Hai Isi Naam Sy Sanson Ki Rawani
Fani Hai Jahan Aur Jo Hai La Fani Ali Hasst

Laraib Ali Hasst Ali Hasst

Ali Un Wali Ullah

Ali Hasst

Qalb E Momin Py Tujhy Rab Ny Utara Ya Ali
Kon Hai Tu Yeh Bata Hum Ko Khudaya Ya Ali
Kya Haqeeqat Hai Teri Ay Mery Mola Ali
Phoolon Ny Kaha Haider
Kalion Ny Kaha Haider
Nabiyon Ny Kaha Haider
Waliyon Ny Kaha Haider
Asshad Un Anna Ali Un Wali Ullah Ali Hasst
Laraib Ali Hasst Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah

Hukm E Yazdan Sy Tery Ishq Ko Pa Kar Mola
Raj Karta Hai Tery Dar Ka Gadaar Mola
Jo Ali Ka Na Hua Woh Kisi Ka Na Hua
Sultan Mera Haider
Emaan Mera Haider
Quran Mera Haider
Armaan Mera Haider
Allah O Nabi Dono Ki Taqat Ba Khuda Ali Hasst
Laraib Ali Hasst Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah
Ali Hasst

Kon Ali
Woh Ali Jo Habblullah Al Mateen Hai
Woh Ali Jo Mustafa Ky Qalb Ka Makeen Hai
Woh Ali Jo Langar E Aasman O Zameen Hai
Woh Ali Jo Kayenaat Mein Sab Sy Haseen Hai
Ali Hasst

Yeh Haqeeqat Bhi Hai Tareekh Ky Seeny Py Raqam
Dosh E Sarkar Py Sarkar Ky Dekhy Jo Qadam
Aasman Jhoom Utha Bol Uthi Khalq E Khuda
Ay Rashk E Qamar Haider
Ghazi Ky Padar Haider
Ooncha Tera Ghar Haider
Tahad E Nazar Haider
Farman E Muhammad Hai Keh Sab Ka Mola Ali Hasst
Laraib Ali Hasst Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah

Zaib Deti Hai Tujhy Teri Barhai Ya Ali
Nokri Raas Jisy Thi Teri Aai Ya Ali
Us Ki Thokar Mein Jahan Wali E Kon O Makaan
Makhdoom E Jinaan Haider
Masjood E Zamaan Haider
Mamdooh E Zuban Haider
Maktoob E Azaan Haider
Kya Khaof E Qaza Us Ko Wazeefa Jis Ka Ali Hasst
Laraib Ali Hasst Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah

Ya Ali
Izzat Ullah Bhi Tu
Wajh Ullah Bhi Tu
Asad Ullah J Ullah Kaabatullah Bhi Tu
Haibat Ullah Bhi Tu
Qudratullah Bhi Tu
Ghairat Ullah, Jurrat Ullah, Soorat Ullah Bhi Tu Ali Hasst

Tery Munkir Py Khudawand E Jali Ki Lanat
Fatima Zehra O Hasnain O Nabi Ki Lanat
Dushman E Shair E Khuda Teri Dozakh Hai Saza
Ay Shah E Najaf Haider
Taqdeer Baqa Haider
Kaabay Ky Sharaah Haider
Tu Charon Taraf Haider
Sad Shukr Azal Sy Hai Mery Dill Py Likha Ali Hasst
Laraib Ali Hasst Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah Ali Hasst

Tum Sy Razi Hain Ali Akhtar O Irfan E Aza
Charcha Dono Ka Barabar Hai Sar E Arsh O Olaa
Haq E Zehra Ki Qasam Yeh Sada Aur Qalam
Hai Teri Ata Haider
Tum Sab Sy Juda Haider
Hum Tujh Py Fida Haider
Ay Aks E Khuda Haider
Hum Ashiq E Haider Hain Hamara Nahra Ali Hasst
Laraib Ali Hasst Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah
Ali Hasst

Rahy Ga Wajh E Khuda Kullo Man Alaiha Fa’aa
Rahy Ga Farsh E Aza Kullo Man Alaiha Fa’aa
Jo Bhi Tha Jo Bhi Hai Jo Ho Ga Woh Fani Hai Magar
Rahy Ga Zikr Tera Kullo Man Alaiha Fa’aa

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply