Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali Lyrics Dasta E Imamia Manqabat

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali Lyrics in Urdu and English recited by Dasta E Imamia.

Ali Imam E Man Ast O Manam Mp3 Download

To download Ali Imam E Man Ast O Manam in mp3 format, please click on the image below.

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali Lyrics in English Text

Shah E Mardan Shair E Yazdan Quwat E Parwardigar
La Fatah Illa Ali La Saif Illa Zulfiqar

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali
Hazar Jaan E Garami Fida E Naam E Ali

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali

Balaghaton Ka Samandar Fasahaton Ka Jahan
Ali Ky Nutq Mein Goya Hai Rabb O Kon O Makaan
Labon Py Ilm E Elahi Ky Raaz Haye Nihaan
Sadaye Kul Ky Sitaray Utar Rahy Hain Yahan

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali

Hai Arsh O Farsh Py Mushkil Kusha Imam E Mubeen
Ali Ka Noor Hai Meesaq E Anbiya Ka Ameen
Azal Sy Alam E Akbar Ali Ky Zair E Nageen
Hai Dast Basta Sar E Arsh Jibraeel E Ameen

Ali Ali Ali Ali
Ali Ali Ali Ali

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali

Ali Ki Taigh Qayamat Hai Zai Paraston Par
Ali Ki Zarb Hai Bhari Jahan Paraston Par
Ali Hai Parcham E Ahraar Haq Ky Raston Par
Ali Hai Dast E Nigehbaan Tang Daston Par

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali

Ali Wilayat E Kubra Ka Takht E La Fani
Ali Ky Adal Py Naazan Hai Nasl E Insani
Sikhaya Ahl E Nazar Ko Shiaar E Maidani
Ali Ny Dill Ko Diya Parcham E Jahan Baani

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali

Ali Ka Noor Andheron Mein Darr Banata Hai
Ali Ka Ishq Charagh E Amal Jalata Hai
Ali Shaoor Ko Maidan E Haq Mein Laata Hai
Ali Ky Ishq Ko Meezan Rab Banata Hai

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali

Ali Hai Nukta E Wahdat Ali Hai Rooh E Wila
Ali Mashiyat E Yazdan Ali Raza E Khuda
Ali Hai Zarb E Yadullah Ali Hai Baab E Ataa
Ali Ka Ishq Hai Subhana Rabbi Al Aalaa

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali

Jahan Mein Rooh E Adalat Bana Shiaar E Ali
Farogh E Azmat E Insaniyat Karrar E Ali
Safeer E Razm E Wilayat Hai Zulfiqar E Ali
Sadaye Fuzto Sar E Arsh Iftikhar E Ali

Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali

Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *