Reciter: Irfan Haider
Ronay Walo Dua Mango
Koi Aisay Ghareeb Na Ho
Jaisay Zainab Ghareeb Hui
Bhai Ko Ro Chuki
Sara Ghar Kho Chuki
Bey Rida Ho Chuki
Salam Ya Zainab
Salam Ya Zainab
Kabhi Koofay Mein Shehzadi
Kabhi Koofay Mein Qaidi Hai
Ali Ki Laadli Zainab
Ali Ki Laadli Zainab
Yeh Woh Bibi Hai Baba Nay Jisay Pala Tha Naazon Say
Akeli Reh Gai Jis Kay Kabhi Atthara Bhai Thay
Kabhi Paidal Na Chalti Thi Kabhi Kanton Py Chalti Hai
Ali Ki Laadli Zainab
Sar E Abbas Daikha To Kaha Zainab Ny Ay Bhai
Teri Zainab Kabhi Is Haal Mein Baahar Nahi Aai
Nikalti Thi Jo Mehmil Mein Khulay Naaqay Py Bethi Hai
Ali Ki Laadli Zainab
Woh Manzar Yad Hai Jis Dam Madinay Say Chali Sheereen
Usay Tohfay Mein Zainab Nay Duayen Diin Ridayen Diin
Woh Chadar Bantnay Wali Ab Ek Chadar Ko Tarsi Hai
Ali Ki Laadli Zainab
Yeh Us Bibi Ki Beti Hai Tha Jis Kay Mehr Mein Pani
Usay Sab Pyar Say Kehtay Thay Ghar Mein Fatima Saani
Yeh Bint E Saaqi E Kausar Na Janay Kab Say Pyasi Hai
Ali Ki Laadli Zainab
Yeh Noori Qafila Jab Sham Kay Bazar Mein Pahuncha
Koi Zainab Ko Pathar Maar Kay Hans Kar Yeh Kehta Tha
Isay Maaro Isay Maaro Yeh Baaghi Hai Yeh Baaghi Hai
Ali Ki Laadli Zainab
Ajab Kohram Tha Zindaan Mein Jab Hind Aai Thi
Woh Apni Aaqa Zaadi Ko Kahan Pehchan Pai Thi
Main Zainab Hun Main Zainab Hun Yehi Ro Ro Ky Kehti Hai
Ali Ki Laadli Zainab
Safar Mein Jo Kabhi Aon O Muhammad Ko Nahi Roi
Woh Maazi Shan O Irfan E Aza Jis Dum Watan Pahunchi
Lipat Kar Do Musallon Say Na Poocho Kitna Roi Hai
Ali Ki Laadli Zainab