Reciter: Tejani Brothers
Maula sakhi, ibn-e-sakhi, Bul askari, aliyyun naqi
Ya sakhi ya aliyyun naqi, ya sakhi ya aliyyun naqi
Aap ki maa hai bibi sumaana khatoo(n),
aap ke baba jaa(n) hai Muhammad Taqi
tumne che saal ke umr mei paayi thi,
zimmedari imamat ki aur aal ki
Tu hai shahzada-e-do jahaa(n),
ranj ki hai teri daastaa(n)
Ya sakhi ya aliyyun naqi, ya sakhi ya aliyyun naqi
Tumko darbaar mei laaya zalim ne jab,
mutawakkil tha bad-mast yu(n) takht par
Aap koh ke ashaaro(n) ko parhke kiya,
zer baari wo zalim ka us waqt par
Tere lafzo(n) ka tha ye asar,
khun roya tha bedaadgar
Ya sakhi ya aliyyun naqi, ya sakhi ya aliyyun naqi
Mutakabbir wo zalim tha itna bara,
teri azmat ko pehchaan paya nahi(n)
Khud ko afzal samajh ke sitamghaar yu(n),
sheyr ke ghaar mei phenke tumko la’ee(n)
Hai buland ye tera martaba,
Tumko sheyro(n) ne sajda kiya
Ya sakhi ya aliyyun naqi, ya sakhi ya aliyyun naqi
Jis tarha se madine ko rukhsat kiya,
Misl-e-shabbir tune bhi rukhsat kiya,
Jangal-e-karbala ko chale the hussain,
jangal-e-samarra tha wo manzil tera
Wo huwe karbala mei qatal,
samarra mei thi teri ajal
Ya sakhi ya aliyyun naqi, ya sakhi ya aliyyun naqi
Mere shahzade sunlo ye dil ki dua,
Tumko Zainab ki chadar ka hai wasta
Jiske dil mei hai hajat wo maqbool kar,
Asra har muhibbo(n) ka bas hai tera
Jiske dil mei hai hajat bhari,
unke lab pe sada hai yahi
Ya sakhi ya aliyyun naqi, ya sakhi ya aliyyun naqi
Sab yateemo(n) ko saya-e-rahmat mile,
har pareshaan dil ko salamat mile
Zalimo(n) ko saza aur qayamat mile,
hashr mei momino(n) ko shafa’at mile
Aap sab hajato(n) ke ho dar,
Kyu(n) ke hai aapka paak gar
Ya sakhi ya aliyyun naqi, ya sakhi ya aliyyun naqi
Zehr tumko khilaya gaya ya imam,
Mutawakkil ki zulmat ki thi inteha
Ye asar tha ke tha tera tukre jigar,
marte bhi dard se tan tha tera bhara
Haaye maula ye ghurbat teri,
the janaze pe bas askari
Ya sakhi ya aliyyun naqi, ya sakhi ya aliyyun naqi
Baad-e-rehlat sukoo(n) bhi huwa na naseeb,
zalimo(n) ne kiya munhadim samarra
Ayenge jab “Tejani” imam-e-zamaa(n),
lenga tab badla-e-zulm wo bakhuda
Leke wo ayega zulfiqaar,
hogi tab sare zalim ki haar
Raah par hai hamari nigaahei(n) pari
Dekhna hai zamane ko ab us ghari
Ayega ghayb se jo hamare imam
Lega tab samarra ka wohi inteqaam
Zulfiqar uspe chaljaayegi jo bhi tha
Qatil-e-asghar-o-mohsin-o-fatemah
Samarra aur baqiyyah ke zalim suno
Ghayb se ibn-e-zahra ik din ayega
Har adu ka badaljayenga din se shaam
Is tarha se chalayega apni niyaam
Badla-e-shaam-o-karbal wo tab payenge
Aur sajjad ke ashk tham jaayenge