Reciter: Nadeem Sarwar
Rasil Hussain Dil E Jahan (x4)
Salam Bar Muharram
Salam Bar Karbala
Salam Bar Ashura
Salam Bar Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain…
Assalam O Alal Hussain
Wa Ali Ibne Al Hussain
Wa Aolad Il Hussain
Wa Ashab Il Hussain
Assalam O Alal Shaib Il Khazeem
Assalam O Alal Khad Et Tareem
Assalam O Alal Badan E Saleef
Assalam O Alat Taghil Makro E Bil Kazeeb
Assalam O Alal Raas El Marfoo
Allah Allah Min Rasil Hussain
Allah Allah Min Rasil Hussain
Ay Neyza Sawaron Ki Qayadat Ky Shehanshah
Zulfain Teri Walail Wa Shams Hai Chehra
Aankhon Sy Ayaan Noor E Muhammad Ka Ujala
Lab Tery Hain Masroof E Tilwat Bin E Zehra
Sajdy Mein Jhuka Sar To Ibadat Ka Sharaf Tha
Neyzey Py Utha Sar To Yeh Sar Durr E Najaf Tha
Allah Allah Min Rasil Hussain
Thi Pusht E Muhammad To Isi Sar Ka Musalla
Aur Chadar E Tatheer Hai Isi Sar Ka Umaama
Man Kunto Ka Khutba Hai Isi Sar Ka Khulasa
Es Sar Ky Sabab Karbobala Ab Hai Mua’lla
Yeh Sar Na Jhuka Khanjar O Talwar Ky Aagy
Sar Zulm Ka Kham Hai Tery Inkaar Ky Aagy
Allah Allah Min Rasil Hussain
Rooh E Hussain
Jabeen E Hussain
Abroo E Hussain
Chashme E Hussain
Rukhsar E Hussain
Dehn E Hussain
Lab E Hussain
Dandaan E Hussain
Rukhsar E Hussain
Reesh E Hussain
Guloo E Hussain
Zulf E Hussain
Khushboo E Hussain
Zahn E Hussain
Fikar E Hussain
Guftaar E Hussain
Haan
In Ankhon Ko Hai Ahmad E Mukhtar Ny Chooma
Zehra O Ali Ny Lab O Rukhsar Ko Chooma
Zulfon Ko Hasan Ny Hai Barhy Pyar Sy Chooma
Behnon Ny Gala Is Ka Kai Baar Hai Chooma
Sardari E Abbas Isi Sar Sy Jurhi Hai
Aur Zainab O Kulsoom Ko Yeh Misl E Ali Hai
Allah Allah Min Rasil Hussain
Mojood Tha Is Sar Mein Muhammad Ka Khazana
Maqsad Tha Isi Sar Ka To Islam Bachana
Zalim Ny Bahot Chaha Tha Is Sar Ko Jhukana
Yeh Sar Na Jhuka Kat Gaya Zahra Ka Gharana
Es Sar Ka Safar Sun Ky Jahan Rota Hai Ab Tak
Ghaibat Mein Jo Hai Marsiya Khuwanon Ka Hai Ab Tak
Allah Allah Min Rasil Hussain
Allah Ko Yeh Sar Pas E Gardan Sy Kata Tha
Zarben Thiin Lagi Tera Bahut Khushk Gala Tha
Zainab K Liye Waqt Qayamat Sy Karha Tha
Zulfon Ko Pakarh Kar Jo Yeh Sa Shimr Chala Tha
Afsos Sar E Nok E Sinaan Jab Yeh Sar Aaya
Jalta Hua Ghar Shame Ghareeban Ka Tha Saya
Allah Allah Min Rasil Hussain
Es Sar Ky Masaib Ka Yeh Pur Dard Hai Qissa
Khooli Ney Isy Ghar Mein Jo Tandoor Mein Rakha
Raat Aai To Phir Zaoja E Khooli Ny Yeh Dekha
Tandoor Sy Ek Noor Ka Darya Hai Ubalta
Ek Bibi Siyah Posh Ny Is Sar Ko Uthaya
Ro Ro Ky Kaha Haye Ghareeb E Bin E Zehra
Allah Allah Min Rasil Hussain
Rahib Ny Yeh Sar Dekha Tha Jab Nok E Sinaan Par
Khooli Sy Kaha Kon Hai Yeh Kis Ka Hai Yeh Sar
Bola Wo Bad Atwaar Ka Yeh Hai Bin E Haider
Rahib Ny Woh Sar Ly Liya Khooli Ko Diya Zarr
Sar Goud Mein Rakhy Huye Rota Raha Rahib
Awaz E Fughan Zehra Ki Sunta Raha Rahib
Allah Allah Min Rasil Hussain
Yeh Sar Kabhi Sandooq Mein Tandoor Mein Rakha
Es Sar Ko Darakhton Py Laeenon Ny Sajaya
Nayzay Py Isy Shehar Ki Galiyon Mein Phiraya
Ham Raah Aseeron Ky Yeh Sar Shaam Jab Aaya
Sajjad Ko Zainab Ko Rulaty Thy Sitamgar
Sar Bali Sakina Ko Dikhaty Thy Sitamgar
Allah Allah Min Rasil Hussain
Darbar E Yazeedi Mein Bapa Jashn E Karab Tha
Thy Aik Taraf Ahl E Haram Muztar O Giriya
Aur Samny Tha Takht Py Marjana Ka Beta
Us Takht Taly Sar Tha Hussain E Bay Khata Ka
Badmast Laeen Nashy Mein Lalkaar Raha Tha
Dandaan E Shah E Deen Py Charhi Maar Raha Tha
Allah Allah Min Rasil Hussain
Jis Waqt Yeh Sar Sham Ky Zindaan Mein Aaya
Sar Bhai Ka Zainab Ny Kalaijy Sy Lagaya
Sajjad Ny Bey Hosh Sakina Ko Jagaya
Sar Baba Ka Pehlu Mein Sakina Ny Jo Paaya
Ay Sarwar O Rehan Qayamat Ka Samaa Tha
Shabbir Ka Sar Rota Tha Aur Shor O Fughan Tha
Allah Allah Min Rasil Hussain
Assalam O Alal Hussain
Assalam O Alla Rasil Marfoo