Alwida Alwida Lyrics written in Urdu and English text recited by Noha Khuwan Farhan Ali Waris in 2002. Find out more noha lyrics by Farhan Ali Waris similar to lyrics of Alwida Alwida on Khairilamal.
Alwida Alwida Lyrics by Farhan Ali Waris in English text
Alwida Alwida
Baba Kaisy Kahun Alwida Alwida
Alwida Alwida Alwida Alwida
Aap Jaty Nahi Jan Jany Lagi
Zindagi Mujh Sy Daman Churhany Lagi
Sans Seeny Mein Ruk Ruk Ky Any Lagi
Ab Mery Sath Hain Aah Aur Hichkian
Alwida Alwida Alwida Alwida
Kiun Piyun Main Dawa Ho Chuki Al Shifa
Chorh Kar Mujh Ko Mera Maseeha Chala
Aisa Lagta Hai Mujh Sy Huye Tum Khafa
Meri Hum Jolian Ab Hain Tanhaiyan
Alwida Alwida Alwida Alwida
Kaisy Behlaun Dill Kuch To Bolo Padar
Qabr Sy Kam Nahi Haye Ab Mera Ghar
Maot Hai Ab Meri Aap Ka Yeh Safar
Bolti Hai Nazar Chup Hai Meri Zubaan
Alwida Alwida Alwida Alwida
Kon Jata Hai Beemar Ko Chorh Kar
Hath Rakhty Hain Beemar Ki Nabz Par
Us Ki Dill Joi Karty Hain Sham O Sahar
Rakhty Hain Thandy Pani Ki Bhi Pattian
Alwida Alwida Alwida Alwida
Lo Mery Ghar Sy Rukhsat Hun Jaan Hua
Jata Hai Bhai Nazon Ka Pala Hua
Ranj Is Bat Sy Hai Dobala Hua
Tum Raho Gy Yahan Main Rahun Gi Wahan
Alwida Alwida Alwida Alwida
Haye Baba Mery Din Yeh Garmi Ky Hain
Sath Bachon Ka Hai Yeh Safar Na Karen
Ya To Phir Sath Mujh Ko Bhi Ly Ky Chalen
Keh Raha Hai Yehi Ab To Ashk E Rawan
Alwida Alwida Alwida Alwida
Din To Kat Jaye Ga Shab Na Kat Paye Gi
Ap Ky Hijr Mein Neend Kab Aye Gi
Neend Ai To Woh Maot Ban Jaye Gi
Roye Ga Meri Gurbat Py Ab Asman
Alwida Alwida Alwida Alwida
Noha Farhan Sughra Ky Lab Py Yeh Tha
Munh Ko Any Laga Hai Kalaija Mera
Ho Gaya Khali Kaisa Bhara Ghar Jo Tha
Haye Rehan Main Bhi Hun Noha Kunan
Alwida Alwida Alwida Alwida