Reciter: Umair Zubair

Hamen Chorh Kar Chala

Ghamzada Har Musalman Na Hota
Alwida Kash Ramzan Na Hota

Gar Yeh Ramzan Ki Rukhsat Na Hoti
Rooh Ki Aisi Halat Na Hoti

Dill Hamara Pareshan Na Hota
Alwida Kash Ramadan Na Hota

Gar Na Rozay Bahaaren Lutatay
Zindagi Mein Yeh Din Gar Na Atay
Aisa Bakhshish Ka Samaan Na Hota
Alwida Kash Ramadan Na Hota

Ghamzada Har Musalman Na Hota
Alwida Kash Ramzan Na Hota

Gar Na Hoty Ujaly Sahar Ky
Jholi Bharti Na Iftar Kar Ky
Sab Ka Bharpoor Damaan Na Hota
Alwida Kash Ramzan Na Hota

Ghamzada Har Musalman Na Hota
Alwida Kash Ramzan Na Hota

Rehmaton Ki Hawa Gar Na Hoti
Arsh E Haq Sy Ata Gar Na Hoti
Gham Ka Farooqi Darmaan Na Hota
Alwida Kash Ramadan Na Hota

Ghamzada Har Musalman Na Hota
Alwida Kash Ramzan Na Hota

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply