Reciter: Nadeem Sarwar
Zindan E Sham Mein Jahan Bibi Ka Hai Mazaar
Raton Ko Dheemi Dheemi Si Ati Hai Ek Pukaar
Kanon Sy Mere Khoon Abhi Bhi Tapakta Hai
Amma Baar Baar
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Amma Baar Baar
Uthti Hain Jab Bhi Ap Mera Sans Rukta Hai
Amma Baar Baar
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Soi Nahi Hun Sham E Ghareeban Ky Bad Main
Ab Ky Jeeun Gi Sham K Zindan Ky Bad Main
Bey Aas Ab Hun Shah E Shaheedan Ky Bad Main
Saya Ajal Ka Amman Mere Sath Chalta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Kanon Ka Khoon Ankhon Ky Ansoo Sy Mil Gaya
Har Zakhm Phool Ban K Badan Par Hai Khil Gaya
Baba Ko Dhund Lao Ky Seeny Sy Dil Gaya
Bey Jan Mere Jism Mein Kiun Dil Dharakta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Ay Amman Jab Sy Baba Sy Main Door Ho Gai
Yeh Zindagi Mere Liye Na Soor Ho Gai
Par Kya Karun Naseeb Sy Majboor Ho Gai
Hijr E Padar Sy Seeny Mein Ek Dard Uthta Hai
Amman Baar Bar Gala Mera Dukhta Hai
Kanty Parhy Hain Halq Mein Ay Amma Pyas Sy
Darti Hun Jhonka Guzry Hawa Ka Jo Pas Sy
Neend Urh Gai Hai Ankhon Sy Khaof O Hiras Sy
Rony Py Mere Shimr E Laeen Ko Jhirakta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Asghar Ky Bad Pani Piyun Main Nahi Nahi
Ammun Ky Bad Zinda Rahun Main Nahi Nahi
Faryad Kuch Shaqi Sy Karun Main Nahi Nahi
Pani Mein Aks E Chehra E Asghar Jhalakta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Lagta Hai Qaid E Jan Sy Rihai Qareeb Hai
Ay Amman Jano Tum Sy Rihai Qareeb Hai
Ab Maot Mujh Ko Qabr Ky Lai Qareeb Hai
Daman To Jal Chuka Hai Mera Dil Sulagta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Konain Mein Yeh Kaisa Hai Qanoon Poochiye
Marny K Bad Mujh Ko Rihai Nahi Mily
Yeh Kaisi Qaid Hai Ky Lehad Bhi Yahin Bany
Qaidi Kabhi To Qaid Sy Ghar Ko Palat’ta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Jao Nadeem Sarwar O Rehan Aik Bar
Zindan E Sham Mein Jahan Bibi Ka Hai Mazaar
Raton Ko Dheemi Dheemi Si Ati Hai Yeh Pukaar
Kanon Sy Mere Khoon Abhi Bhi Tapakta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Uthti Hain Jab Bhi Ap Mera Sans Rukta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai