Reciter: Farhan Ali Waris

Do Jagg Ky Palan Haye Kull Hind Ky Otaad
Shabbir Meray Aaqa Shabbir Meray Mola

Hir Dill Mein Jaga Patay Jeewan Mein Samaa Jatay
Shabbir Madine Say Gar Hind Mein Aa Jatay

Kuch Kaal Na Parh Jata Sangsaar Mein Pani Ka
Do Boond Agar Zaalim Asghar Ko Pila Jatay

Shabbir Madine Say Gar Hind Mein Aa Jatay
Hir Dill Mein Jaga Patay Jeewan Mein Sama Jatay
Shabbir Madine Say Gar Hind Mein Aa Jatay

Un Logon Nay Maula Ko Kaanton Pay Chalaya Tha
Palkon Ko Bichatay Hum Jis Ore Bhi Woh Jatay

Shabbir Madine Say Gar Hind Mein Aa Jatay
Hir Dill Mein Jaga Patay Jewan Mein Sama Jatay
Shabbir Madinay Say Gar Hind Mein Aa Jatay

Ganga Kay Kanaray Par Ghazi Ka Alam Sajta
Is Ganga Ki Shobaa Ko Woh Aa Kay Barha Jatay

Shabbir Madine Say Gar Hind Mein Aa Jatay
Hir Dill Mein Jaga Patay Jewan Mein Sama Jatay
Shabbir Madinay Say Gar Hind Mein Aa Jatay

Is Daish Mein Aa Jata Sundar Sa Pareewartan
Har Dharm Ki Janta Ko Khud Kalma Parha Jatay

Shabbir Madine Say Gar Hind Mein Aa Jatay
Hir Dill Mein Jaga Patay Jewan Mein Sama Jatay
Shabbir Madinay Say Gar Hind Mein Aa Jatay

Shabbir Ko Janta Ki Chahat Na Agar Hoti
Na Goud Kay Palon Ko Maati Mein Mila Jatay

Shabbir Madine Say Gar Hind Mein Aa Jatay
Hir Dill Mein Jaga Patay Jewan Mein Sama Jatay
Shabbir Madinay Say Gar Hind Mein Aa Jatay

Shabbir Kay Bachon Kay Yun Naaz Uthatay Hum
Aakash Ky Taaron Ko Charnon Mein Bicha Jatay

Shabbir Madine Say Gar Hind Mein Aa Jatay
Hir Dill Mein Jaga Patay Jewan Mein Sama Jatay
Shabbir Madinay Say Gar Hind Mein Aa Jatay

Bali Na Koi Chinti Chinti Na Koi Chadar
Raawan Ky Pujaari Na Khaimon Ko Jala Jatay

Shabbir Madine Say Gar Hind Mein Aa Jatay
Hir Dill Mein Jaga Patay Jewan Mein Sama Jatay
Shabbir Madinay Say Gar Hind Mein Aa Jatay

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply