Reciter: Nadeem Sarwar

Jis Dam Jalay Khayam E Shehanshah E Behr O Barr
Ek Bachi Nikli Khaimay Say Us Dam Barehna Sar
Jalta Tha Daman Aag Say Kaprhay Thay Khoon Mein Tar
Maqtal Ki Simt Rukh Kiye Jati Thi Noha Gar
Sab Ran Mein Jaa Ky Reh Gaye Tanha Hamen Kiya
Aahda Nay Cheeni Chadaren Khaima Jala Diya
Ammu Bhi Gaye Baba Bhi Gaye

Ammu Bhi Gaye Baba Bhi Gaye

Ta Had E Nazar Lashay Hain Parhay
Bandhay Halqa Ahdaa Hain Kharhay
Ghar Jalta Hai Zar Lut’ta Hai
Waris Na Rahay

Ammu Bhi Gaye Baba Bhi Gaye

Loota Zaiwar Cheeni Chadar
Hain Aal E Muhammad Nangay Sar
Kartay Hain Jafa Hum Par Ahdaa
Kon Ab Rokay

Ammu Bhi Gaye Baba Bhi Gaye

Barwaqt Phuphi Khaimay Mein Gai
Bistar Hi Jala Bas Khair Hui
Tapp Hai Aisa Ghash Mein Bhaiya
Abid Hain Parhay

Ammu Bhi Gaye Baba Bhi Gaye

Dam Ghut’ta Hai Phaila Hai Dhuwan
Ab Jayen Kahan Jo Payen Amaan
Hai Kon Yahan Jo Jaa Ky Wahan
Qasim Say Kahay

Ammu Bhi Gaye Baba Bhi Gaye

Atthaara Baras Yun Pala Tha
Pardais Mein Akbar Hon Gay Juda
Seena Kobi Karti Hai Phuphi
Kar Ky Nalay

Ammu Bhi Gaye Baba Bhi Gaye

Nalon Say Kalaija Phat’ta Hai
Ek Dard Sa Dill Mein Uthta Hai
Maan Roti Hain Jaan Khoti Hain
Asghar Na Rahay

Ammu Bhi Gaye Baba Bhi Gaye

Woh Bayn Anees Hon Kaisay Raqam
Karti Thi Sakina Jo Pur Gham
Waqt E Akhir Us Ky Lab Par
Nalay Yeh Rahay

Ammu Bhi Gaye Baba Bhi Gaye

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply