Reciter: Nadeem Sarwar
Aao Akbar Sehra Bandho
Koi Masnad Laa Ky Bichawo
Koi Aanchal Pay Chaawo
Koi Kajal Surma Laawo
Koi Mehndi Rang Rachawo
Aao Akbar Sehra Bandho
Mera Lal Sada Abad Rahay
Dil Maan Behnon Ka Shad Rahay
Sukhi Jug Jug Yeh Aolad Rahay
Meray Mann Ki Poori Murad Rahay
Koi Nad E Ali Dohrawo
Poshak Shahani Lawo
Ao Akbar Sehra Bandho
Koi Chadar Amman Zehra Ki
Koi Pagrhi Lao Nana Ki
Chalo Behnon Aao Akbar Ki
Akbar Ky Lagao Ab Mehndi
Phoolon Ki Saij Sajawo
Yeh Baam O Darr Mehkawo
Aao Akbar Sehra Bandho
Phoolon Ko Aab E Kausar Say
Dhulwa Kay Boozar O Qambar Say
Yeh Sehra Lagana Tab Sar Say
Jab Abar Najaf Say Aa Barsay
Abbas Ka Parcham Lawo
Saye Mein Is Ko Bithawo
Aao Akbar Sehra Bandho
Koi Sughra Ko Paigham Yeh Do
Akbar Ki Bahan Tum Shad Raho
Aanay Ki Sakat Ho To Aao
Aur Naig Tum Apna Lay Jao
Bhaiya Kay Galay Lag Jawo
Ghunghat Dulhan Ka Uthawo
Ao Akbar Sehra Bandho
Kehti Hai Sakina Khush Ho Kar
Dulha Jo Banay Bhaiya Akbar
Main Naig Mein Mangun Gi Gohar
Sar Rakh Ky Un Ky Seenay Par
Haq Mera Mujhay Dilwawo
Mujhay Bunday Naye Pehnawo
Aao Akbar Sehra Bandho
Nagah Yeh Di Hatif Nay Sada
Lay Zulm Hua Umme Laila
Seenay Mein Laga Us Ky Naiza
Armaan Tha Jis Ki Shadi Ka
Akbar Ko Kafan Pehnawo
Zakhmon Say Khak Churhawo
Aao Akbar Sehra Bandho
Barchi Hai Kalaijay Mein Tooti
Hathon Mein Lagi Khoon Ki Mehndi
So Tukrhay Hui Sehar Aik Larhi
Sarwar Py Qayamat Ki Hai Gharhi
Zainab Ko Hosh Mein Lawo
Lo Farsh Aza Ka Bichawo
Aao Akbar Sehra Bandho
Do Qasid E Sughra Ko Yeh Khabar
Sughra Ko Bataye Woh Jaa Kar
Akbar To Gaye Sooye Kausar
Kya Takti Hai Sughra Raah Guzar
Mat Un Say Aas Lagawo
Ab Fatiha Un Ki Dilawo
Aao Akbar Sehra Bandho
Rehan Tujhay Akbar Ki Qasam
Mat Rok Abhi Tu Apna Qalam
Woh Bat Tujhay Karna Hai Raqam
Gham Ahl E Aza Ka Jis Say Ho Kam
Akbar Ka Sehra Sunawo
Khud Tarhpo Aur Tarhpawo
Aao Akbar Sehra Bandho