Reciter: Mesum Abbas
Haye Haye Haye
Yeh Gham Woh Gham Hai Keh Dono Jahan Roty Hain
Yateem Aaj Imam E Zamaan Hoty Hain
Haye Hasan Askari Mola
Ay Bin E Zahra Askari Mola
Shah E Samarra Askari Mola
Haye Qayamat Ki Gharhi Aa Gai Kaisi
Saye Sy Mehroom Tery Ho Gaye Mahdi
Ho Ky Juda Rota Raha Aap Ka Beta
Ay Mere Baba Askari Mola
Ay Bin E Zahra Askari Mola
Kaisa Aseeri Ka Sitam Tum Py Hua Hai
Tery Liye Ghar Tera Zindaan Bana Hai
Mola Tera Ghar Min Hua Dafan Janaza
Waye Ghurbata Askari Mola
Ay Bin E Zahra Askari Mola
Samarra Har Saal Chaly Aty Hain Zawwar
Aap Ka Taboot Uthaty Hain Azadar
Farsh E Aza Bichta Raha Bichta Rahy Ga
Li Jiye Pursa Askari Mola
Ay Bin E Zahra Askari Mola
Sary Azadaron Ky Lab Par Yeh Dua Hai
Wasta Tujh Ko Tery Bety Ka Diya Hai
Dill Mein Basa Roza Tera Mehdi Ky Baba
Hum Ko Bulana Askari Mola
Ay Bin E Zahra Askari Mola
Askari Mola Hasan Askari Mola
Qaidi O Mazloom Mery Giarahwen Sarkar
Deny Ko Pursa Tumhen Aaye Hain Azadar
Pursa Qubool Ho Ay Mere Syed O Sardar
Hum Log Teri Nazar E Karam Ky Hain Talabgaar
Gham Yeh Tera Dil Mein Sada Zinda Rahy Ga
Roti Hai Duniya Askari Mola
Ay Bin E Zahra Askari Mola
Jab Bhi Tery Naam Ki Hoti Hai Yeh Majlis
Sath Mein Zahra Ky Chali Ati Hai Narjis
Dekh Zara Mehw E Buka Hain Teri Zoja
Kehti Hain Noha Askari Mola
Ay Bin E Zahra Askari Mola
Parda E Ghaibat Mein Jo Beta Hai Tumhara
Bhejen Usy Jald Pareshan Hai Duniya
Sun Lo Dua Mehw E Khuda Waris E Khuda
Hai Yeh Iltija Askari Mola
Ay Bin E Zahra Askari Mola
Mesum O Azlan Py Bas Itna Karam Ho
Nam Tery Chahny Walon Mein Raqam Ho
Kar Do Ata Hum Ko Sila Nohy Ka Mola
Khawab Ho Poora Askari Mola
Ay Bin E Zahra Askari Mola