Khairilamal

Fitrus Ka Masiha Lyrics Kabeer Rizvi Dayan Rizvi Manqabat 2021

Reciter: Dayan Rizvi, Kabeer Rizvi
Recitation Type: Manqabat
Year: 2021

Fitrus Ka Masiha Lyrics in Urdu and English Text recited by Kabeer Rizvi and Dayan Rizvi. An Imam Hussain 3 Shaban Manqabat.

Fitrus Ka Masiha Lyrics in English Text

Sakhi Hussain Mera Hussain

Fitrus Ka Masiha Rahib Ka Sakhi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Zahra Ki Dua Hai Tujhy Haider Ki Madad Hai
Paishani Py Roomal Nahi Hai Yeh Sanad Hai
Ay Hurr Teri Qismat Khud Jis Ny Likhi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Fitrus Ka Masiha Rahib Ka Sakhi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Khilqat Py Teri Fakhr Kary Khaliq E Adam
Maan Malka E Konain Pidar Maalik E Aalam
Mehboob E Muhammad Jo Ishq E Jali Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Fitrus Ka Masiha Rahib Ka Sakhi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Karti Hai Ghuroor Is Ky Muqaddar Py Khudai
Hai Zainab O Kulsoom Si Behnon Ka Yeh Bhai
Beti Bhi Sakina Si Jis Ko Mili Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Fitrus Ka Masiha Rahib Ka Sakhi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Duniya Mein Nahi Koi Hussain Ibne Ali Sa
Ay Chand Bata Husan Bayan Kaisy Ho Us Ka
Jis Ka Ali Akbar Ham Shakal E Nabi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Fitrus Ka Masiha Rahib Ka Sakhi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Duniya Mein Yazeed Ab Kabhi Zinda Ho Ga
Bas Naam E Hussain Ibne Ali Zinda Rahy Ga
Woh Jis Ki Muhabbat Har Dill Mein Basi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Fitrus Ka Masiha Rahib Ka Sakhi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Sarwar Jo Sawaar Aa Ky Huye Pusht E Nabi Par
Khaliq Ny Kaha Sajda Barha Do Ay Payambar
Han Jis Ko Salami Sajdon Ki Mili Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Fitrus Ka Masiha Rahib Ka Sakhi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Chahat Hai Agar Dill Mein Keh Aye Na Koi Gham
Bachon Ko Sikhatay Raho Shabbir Ka Matam
Darasal Woh Jis Ke Gham Mein Bhi Khushi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Fitrus Ka Masiha Rahib Ka Sakhi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Jis Ky Hi Sabab Baqi Hain Duniya Mein Namazen
Zeeshan Sada Dety Hain Sajda O Azaanen
Woh Jis Ky Sabab Yeh Toheed Bachi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Fitrus Ka Masiha Rahib Ka Sakhi Hai
Woh Naaz E Khudawand Hussain Ibne Ali Hai

Sakhi Hussain Mera Hussain
Sakhi Hussain Mera Hussain

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *