Khairilamal

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam Lyrics Ali Ammar Noha 2023

Reciter: Ali Ammar
Recitation Type: Noha
Year: 2023

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam Lyrics written in english text and recited by noha khuwan Ali Ammar in 2023. View Ali Ammar noha lyrics similar to lyrics of Assalam Assalam Ya Hussain Assalam on Khairilamal.

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam Lyrics by Ali Ammar in English text

Assalam Assalam Assalam Ya Hussain

Nabi Ky Noor E Ain
Fatima Kay Chain
Shah E Mashraqain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Salam Ya Hussain Salam Ya Hussain

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam

Aap Par Durood Ho Aap Par Salam

Ro Rahi Hain Fatima Aa Gaye Hain Mustafa
Mustafa Kay Sath Sath Hain Ali E Murtaza
Aamad E Hussain Py Sajj Gai Hai Karbala
Kosari Jab Aa Gaye Kanaray Nehr E Alqama
Goonji Ek Sada Ya Hussain Assalam
Deen Ky Badshah Ya Hussain Assalam

Aap Par Durrod Ho Aap Par Salam

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam

Saff Ba Saff Hain Anbiya Char Soo Hain Auliya
Ay Zameen E Karbala Aaj Kya Hai Majra
Arsh Walay Farsh Par Aa Kay Dekhtay Hain Kya
Nasiran E Deen E Haq Keh Rahay Hain Barmala
Seedha Raasta Ya Hussain Assalam
Tujh Say Mil Gaya Ya Hussain Assalam

Aap Par Durrod Ho Aap Par Salam

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam

Teen Din Ki Tashnagi Nay Is Tarah Azan Di
Mustafa Ky Deen Ko Dasht Mein Amaan Di
Fajar Ki Namaz Mein Ghaziyon Nay Jaan Di
Jazba E Hussain Nay Fikr Ko Urhaan Di
Ibn E Murtaza Ya Hussain Assalam
Sadqay Mustafa Ya Hussain Assalam

Aap Par Durrod Ho Aap Par Salam

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam

Nojawan Hussain Ka Kar Raha Hai Ab Wagha
Chal Rahi Hai Kufr Par Taigh E Shah E La Fataah
Kufr Kay Hujoom Mein Hai Ek Shabeeh E Mustafa
Ek Sinaan Ky Waar Say Jis Ka Seena Chid Gaya
Tera Meh Laqa Ya Hussain Assalam
Kooch Kar Gaya Ya Hussain Assalam

Aap Par Durrod Ho Aap Par Salam

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam

Mubtalaye Dard O Gham Mustafa Ki Aal Hai
Aik No Nihaal Hai Jo Pyas Say Nidhal Hai
Pani Us Ko Kon Day Hussain Ka Sawaal Hai
Teer Kha Kay Hansnay Wali Aik Hi Misaal Hai
Tera Shash Maha Ya Hussain Assalam
Kaam Kar Gaya Ya Hussain Assalam

Aap Par Durrod Ho Aap Par Salam

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam

Nasiran E Deen E Haq Sab Shaheed Ho Gaye
Karbala Ki Khak Py Jo Khoon Bicha Kay So Gaye
Laot Kar Na Aye Phir Jihad Karnay Jo Gaye
Is Bhary Jahan Mein Hussain Tanha Ho Gaye
Tera Hosla Ya Hussain Assalam
Sar Kata Liya Ya Hussain Assalam

Aap Par Durrod Ho Aap Par Salam

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam

Sajda E Hussain Say Deen Ko Mil Gai Baqaa
Kufr Ho Gaya Zaleel Surkh Roo Hui Wafa
Karbala Mein Ho Gaya Abad Talak Yeh Faisla
Laa Say Ab Hussain Ki Hai Kalma La Ilaha Ka
Jaan E Fatima Ya Hussain Assalam
Azam E Murtaza Ya Hussain Assalam

Aap Par Durrod Ho Aap Par Salam

Assalam Assalam Ya Hussain Assalam

Assalam Assalam Assalam Ya Hussain

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *