Reciter: Nadeem Sarwar
Farmati Hain Yeh Dukhtar E Sultan E Karbala
Nikli Main Khaima Gah Say Maqtal Ka Rukh Kiya
Jis Dam Main Pahunchi Lash E Padar Par Basad Buka
Ati Thi Saaf Halq E Bureeda Say Yeh Sada
Shiatee Maa In Sharabtum Ma Azbin Fazkaroni
Ao Samaitum Bey Ghareebin O Shaheedin Bandabooni
Ay Shio Jab Pena Pani Bhool Na Jana Mujhay
Zikr E Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhay

Ghat Par Dariya Ky Pehraydar Thay Sab Ashqiya
Ki Bahut Koshish Magar Qatra Na Pani Mil Saka
Teen Din Tak Mera Kunba Pani Ko Tarhpa Kiya
Shiatee Maa In Sharabtum Ma Azbin Fazkaroni
Ao Samaitum Bey Ghareebin O Shaheedin Bandabooni
Ay Shio Jab Pena Pani Bhool Na Jana Mujhay
Zikr E Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhay
Pyasay Duniya Say Gaye Zainab Ky Do Lakht E Jigar
Ho Gaya Pamal Pyasa Bhai Ka Noor E Nazar
Tashna Lab Rukhsat Hua Karyal Jawan Mera Pisar
Shiatee Maa In Sharabtum Ma Azbin Fazkaroni
Ao Samaitum Bey Ghareebin O Shaheedin Bandabooni
Ay Shio Jab Pena Pani Bhool Na Jana Mujhay
Zikr E Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhay
Bhai Nay Dariya Pay Qabza Kar Ky Mashkeeza Bhara
Pyasa Tha Pyasa Hi Khaima Gah Say Ghazi Chala
Haye Ray Taqdeer Pani Mashk Say Sab Beh Gaya
Shiatee Maa In Sharabtum Ma Azbin Fazkaroni
Ao Samaitum Bey Ghareebin O Shaheedin Bandabooni
Ay Shio Jab Pena Pani Bhool Na Jana Mujhay
Zikr E Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhay
Wa Anaa Sibt Il Azeemin Ghairay Jurmin Qattalooni
Wa Bey Juld Ol Khail E Baad Il Qatilal Saahaqooni
Doston Main Hun Nawasa Syed E Konain Ka
Zulm Dhaye Ashqiya Nay Mujh Par Bey Jurm O Khata
Baad Ko Ahl E Dagha Nay Kata Khanjar Say Gala
Wa Anaa Sibt Il Azeemin Ghairay Jurmin Qattalooni
Wa Bey Juld Ol Khail E Baad Il Qatilal Saahaqooni
Ay Shio Jab Pena Pani Bhool Na Jana Mujhay
Zikr E Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhay
Ek Angothi Ky Liye Bashdal Nay Ki Ungli Qataa
Ly Gya Malik Basar Ka Beta Ammama Mera
Qais Bin Ashas Hamara Jama E Tann Lay Gaya
Wa Anaa Sibt Il Azeemin Ghairay Jurmin Qattalooni
Wa Bey Juld Ol Khail E Baad Il Qatilal Saahaqooni
Ay Shio Jab Pena Pani Bhool Na Jana Mujhay
Zikr E Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhay
Qatal Kar Ky Ay Shiyo Phir Dushmanon Nay Kya Kiya
Kaat Kar Sar Sibt E Payghambar Ka Naizay Par Rakha
Laasha E Bey Sar Ko Phir Ghorhon Nay Tukrhay Kar Diya
Wa Anaa Sibt Il Azeemin Ghairay Jurmin Qattalooni
Wa Bey Juld Ol Khail E Baad Il Qatilal Saahaqooni
Ay Shio Jab Pena Pani Bhool Na Jana Mujhay
Zikr E Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhay
Laita Koofi Yaom E Ashoora Jamian Tanzarooni
Kaifa Az Tasteel E Tiflin Faboaa Ain Yarhamooni
Pas Gar Hotay Shia Meray Na Hota Aisa Hall
Us Gharhi Shiddat Say Aya Tha Meray Dill Mein Khayal
Pani Ka Asghar Ki Khatir Kar Raha Tha Jab Sawal
Laita Koofi Yaom E Ashoora Jamian Tanzarooni
Kaifa Az Tasteel E Tiflin Faboaa Ain Yarhamooni
Ay Shio Jab Pena Pani Bhool Na Jana Mujhay
Zikr E Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhay
Rooh Farsaa Haye Woh Manzar Jo Koi Dekhta
Qalb Phat Jata Jo Pani Mangnay Par Ki Jafa
Chaida Paikan E Jafa Say Nanhay Asghar Ka Gala
Laita Koofi Yaom E Ashoora Jamian Tanzarooni
Kaifa Az Tasteel E Tiflin Faboaa Ain Yarhamooni
Ay Shio Jab Pena Pani Bhool Na Jana Mujhay
Zikr E Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhay
Jab Kiya Bali Sakina Nay Yeh Zainab Say Bayan
Shiddat E Gham Say Bandhiin Bint E Ali Ki Hichkian
Qatal Gah Say Ay Anees Ati Thi Awaz E Fughan