Reciter: Karbalai Brothers
Ya Muhammad Ya Nabi Ya Mustafa Khair Ul Bashar
Ho Ata Ab Hasnain Ka Sadqa
Ay Zahra Kay Baba Ay Zahra Kay Baba
Dikhla Dy Apna Shehar Madina
Ay Zahra Kay Baba
Jis Tarah Jibreel Teri Chokhat Par Aty Thy
Sar Ky Bal Jaun Main Madina Bilkul Hi Wesy
Dar Py Tery Main Bhi Karun Ga Sajda
Ay Zahra Kay Baba
Ya Muhammad Ya Nabi Ya Mustafa Khair Ul Bashar
Is Ummeeed Py Jeeta Hun Keh Qismat Jagy Gi
Meri Tamanna Mery Mola Ho Jaye Poori
Kab Ho Ga Mera Madinay Jana
Ay Zahra Kay Baba
Rehmat E Alam Teri Rehmat Us Py Barsay Gi
Rizq Ki Us Ky Ghar Mein Kabhi Bhi Qillat Na Ho Gi
Jashan Tera Jis Ny Aaj Manaya
Ay Zahra Kay Baba
Ya Muhammad Ya Nabi Ya Mustafa Khair Ul Bashar
Mola Banaya Tum Ny Ali Ko Shan Ajab Dekhi
Tum Ny Sulaya Apny Bistar Par Bas Us Ko Hi
Tum Ko Hai Jo Sab Sy Hi Pyara
Ay Zahra Kay Baba
Sary Abtar Mit Gaye Lekin Nam Tumhara Hai
Boojehlon Ka Zikr Nahi Hai Tera Kalma Hai
Manta Hai Tum Ko Sara Zamana
Ay Zahra Kay Baba
Ya Muhammad Ya Nabi Ya Mustafa Khair Ul Bashar
Ishq Ali Ka Apnay Dil Mein Bas Woh Rakhy Ga
Aap Ky Bachon Ko Ay Aaqa Bas Woh Manay Ga
Jis Nay Bhi Dill Sy Tum Ko Mana
Ay Zahra Kay Baba
Mainy Bhi Khairat Mein Tum Sy Yehi Manga Hai
Tum Ny Bilal E Habshi Ko Jis Tarah Bakhsha Hai
Aisa Naqi Ka Bhi Bana Do Lehja
Ay Zahra Kay Baba
Ya Muhammad Ya Nabi Ya Mustafa Khair Ul Bashar