Reciter: Dasta e Imamia
Haye
Haye Jab Ek Hashar Barpa Ho Gaya
Pehlu E Zahra Shikasta Ho Gaya
Hasraten Aaghosh E Gham Mein So Gaiin
Ayatain Kausar Ki Zakhmi Ho Gaein
Sara Manzar Sham E Gham Honay Laga
Soorah E Kausar Lahoo Ronay Laga
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Aap Par Hai Dard O Gham Ka Khatima
Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Aap Ki Hurmat Ka Yeh Zinda Asool
Aap Ky Dam Sy Chali Nasl E Rasool
Aap Hain Tanveer Apnay Baap Ki
Surah E Kausar Gawahi Aap Ki
Hasraten Aghosh E Gham Mein So Gaiin
Ayatain Kausar Ki Zakhmi Ho Gaiin
Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Dard Mein Lipti Hui Hai Dastaan
Kiun Na Ho Quran Ky Lab Par Fughan
Zainab O Kulsoom Ky Aansoo Rawan
Shabbar O Shabbir Ka Hai Imtehan
Hasraten Aghosh E Gham Mein So Gaiin
Ayatain Kausar Ki Zakhmi Ho Gaiin
Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Jis Ka Dil Zakhmi Hua Bad E Nabi
Zindagi Sari Aziyat Sy Bhari
Is Qayamat Ko Zara Dekhay Koi
Har Qadam Hai Ek Museebat Ki Gharhi
Hasraten Aghosh E Gham Mein So Gaiin
Ayatain Kausar Ki Zakhmi Ho Gaiin
Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Zulm Is Ghar Par Huye Kya Kya Shadeed
Ho Gaya Mohsin Mery Maula Shaheed
Sayeda Par Yeh Qayamat Thi Mazeed
Zindagi Ki Kab Rahi Koi Umeed
Hasraten Aghosh E Gham Mein So Gaiin
Ayatain Kausar Ki Zakhmi Ho Gaiin
Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Kitni Takleefon Mein Thy Ahl E Wafa
Kis Qadar Zakhmi Tha Qalb E Sayeda
Nazr E Atish Ghar Hua Thehri Qaza
Aur Ali Nay Sabr Kis Dil Sy Kiya
Hasraten Aghosh E Gham Mein So Gaiin
Ayatain Kausar Ki Zakhmi Ho Gaiin
Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Kartay Thy Jibreel Jis Ghar Ko Salam
Tha Jahan Hoor O Malak Ka Bhi Qayam
Dill Mein Paighambar Keh Jin Ka Ehtram
Har Museebat Thi Usi Ghar Par Tamam
Sallalaho Alaiki Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Silsila Jin Say Imamon Ka Chala
Kya Batayen Martaba Us Ka Bhala
Zulm Us Par Ho Baraabar Barmala
Us Ky Shohar Ka Tha Rasii Mein Gala
Hasraten Aghosh E Gham Mein So Gaiin
Ayatain Kausar Ki Zakhmi Ho Gaiin
Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Hai Kahin Shor E Aza Matam Kahin
Larza Bar Andaam Hai Sari Zameen
Dekhiye Yeh Gham Basad Qalb E Hazeen
Hujjat E Akhir Imam E Akhri
Hasraten Aghosh E Gham Mein So Gaiin
Ayatain Kausar Ki Zakhmi Ho Gaiin
Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Yad Hai Woh Manzar E Karb O Bala
Dasht Mein Jab Khaima E Athar Jala
Thi Shab E Ashoor Awaz E Buka
Ro Rahi Thi Ran Mein Rooh E Sayeda
Hasraten Aghosh E Gham Mein So Gaiin
Ayatain Kausar Ki Zakhmi Ho Gaiin
Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Noha Khuwani Ki Sada Hai Yeh Hilal
Dard Ka Mehwar Hai Paighambar Ki Aal
Zikr E Zahra Kar Rahy Hain Maah O Saal
Hai Kahan Duniya Mein Is Gham Ki Misaal
Sallalahu Aliaki Ya Fatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Aap Par Hai Dard O Gham Ka Khatima
Fatima Ya Fatima Ya Fatima
Haye Mazlooma Fatima