Reciter: Ali Safdar
Allah O Akbar Allah O Akbar Allah O Akbar
Yeh Masjidon Kay Manaron Say Baland Faryad Karbala Ki
Azan Hai Elan E Fatah E Sarwar Namaz Hai Yad Karbala Ki
Suno Keh Ab Bhi Basi Hui Hai Faza Mein Faryad Karbala Ki
Hilal E Mah E Aza Say Poocho Tamam Roodad Karbala Ki
Azan Hai Elan E Fatah E Sarwar
Namaz Hai Yad Karbala Ki
Hila E Mah E Aza Say Poocho
Tamam Roodad Karbala Ki
Azan Hai Elan E Fatah E Sarwar
Namaz Hai Yad Karbala Ki
Kaho Keh Mayoos Ho Na Jayen
Sitam Zada Qaomen Jag Jayen
Uthayen Parcham Hussainiat Ka
Milay Gi Imdad Karbala Ki
Azan Hai Elan E Fatah E Sarwar
Namaz Hai Yad Karbala Ki
Khuda Kay Bandon Ko Haq Nahi Hai
Keh Baiyat E Zulm O Jabr Kar Len
Yehi Hai Paigham Shah E Deen Ka
Yehi Hai Bunyad Karbala Ki
Azan Hai Elan E Fatah E Sarwar
Namaz Hai Yad Karbala Ki
Hussainiat Kay Alam Kay Neechay
Munafiqat Ki Jaga Nahi Hai
Wafa O Ikhlas Kay Lahoo Say
Parhi Hai Bunyad Karbala Ki
Azan Hai Elan E Fatah E Sarwar
Namaz Hai Yad Karbala Ki
Alam Uthao Sajao Minbar
Bichao Farsh E Aza E Sarwar
Ada Karo Sunnat E Payambar
Sunao Beydaad Karbala Ki
Azan Hai Elan E Fatah E Sarwar
Namaz Hai Yad Karbala Ki
Woh Zohr E Ashur Woh Namazen
Hussain Woh Sajda E Darakhshan
Inhi Hawalon Mein Munhasir Hai
Tamam Roodad Karbala Ki
Azan Hai Elan E Fatah E Sarwar
Namaz Hai Yad Karbala Ki
Shikast E Batil Bhi Hai Numaayan
Hussain Ki Fatah Bhi Jali Hai
Ujarh Gaya Mulk E Sham Lekin
Zameen Hai Abad Karbala Ki
Azan Hai Elan E Fatah E Sarwar
Namaz Hai Yad Karbala Ki
Sunao Safdar Sitam Garon Ko
Aqeel Ka Dil Kharash Noha
Jagao Soye Huye Dilon Ko
Suna Kay Faryad Karbala Ki
Azan Hai Elan E Fatah E Sarwar
Namaz Hai Yad Karbala Ki
Urdu Lyrics
اللہ اکبر اللہ اکبر اللہ اکبر
یہ مسجدوں کے مناروں سے بلند فریاد کربلا کی
اذاں ہے اعلان فتح سرور نماز ہے یاد کربلا کی
سنو کہ اب بھی بسی ہوئی ہے فضا میں یاد کربلا کی
ہلال ماہ عزا سے پوچھو تمام روداد کربلا کی
اذان ہے اعلان فتح سرور
نماز ہے یاد کربلا کی
ہلال ماہ عزا سے پوچھو
تمام روداد کربلا کی
اذان ہے اعلان فتح سرور
نماز ہے یاد کربلا کی
خدا کے بندوں کو حق نہیں ہے
کہ بیعت ظلم و جبر کر لیں
یہی ہے پیغام شاہ دیں کا
یہی ہے بنیاد کربلا کی
اذان ہے اعلان فتح سرور
نماز ہے یاد کربلا کی
حسینیت کے علم کے نیچے
منافقت کی جگہ نہیں ہے
وفا و اخلاص کے لہو سے
پڑی ہے بنیاد کربلا کی
اذان ہے اعلان فتح سرور
نماز ہے یاد کربلا کی
علم اٹھاؤ سجاؤ منبر
بچھاؤ فرش عزائے سرور
ادا کرو سنت پیمبر
سناؤ بیداد کربلا کی
اذان ہے اعلان فتح سرور
نماز ہے یاد کربلا کی
وہ ظہر عاشور وہ نمازیں
حسین وہ سجدہ درخشاں
انہی حوالوں میں منحصر ہے
تمام روداد کربلا کی
اذان ہے اعلان فتح سرور
نماز ہے یاد کربلا کی
شکست باطل بھی ہے نمایاں
حسین کی فتح بھی جلی ہے
اجڑ گیا ملک شام لیکن
زمیں ہے آباد کربلا کی
اذان ہے اعلان فتح سرور
نماز ہے یاد کربلا کی
سناؤ صفدر ستم گروں کو
عقیل کا دل خراش نوحہ
جگاؤ سوئے ہوئے دلوں کو
سنا کے فریاد کربلا کی
اذان ہے اعلان فتح سرور
نماز ہے یاد کربلا کی