Reciter: Mir Hasan Mir
Fatima Zahra Fatima Zahra
Fatima Zahra Fatima Zahra
Madh Karni Hai Fatima Ki Mujhe
Sahib Zulfiqar Al Madaday
Ba Khuda Hakima E Kon O Makan Hai Zahra
Ba Khuda Hakima E Kon O Makan Hain Zahra
Dehn E Ayat Mein Quran Ki Zaban Hain Zahra
Misra E Hazrat E Chishti Mein Nihaan Hain Zahra
Deen Hai Shabbir To Shabbir Ki Maan Hain Zahra
Haq Ki Tableegh Ky Paigham Mein Kya Rakha Hai
Yeh Jo Hat Jayen To Islam Mein Kya Rakha Hai
Ba Khuda Hakima E Kon O Makan Hain Zahra
Labb E Paighambar E Akhir Ka Wazeefa Zahra
Chashm E Quran Se Jo Dekho To Saheefa Zahra
Ismat O Iffat O Hikmat Ka Khazeena Zahra
Abdo Mabood Key Mabain Waseela Zahra
Us Waseely Ki Agar Rahnumai Na Mily
Khud Rasoolon Ki Duaon Ko Rasaai Na Mily
Ba Khuda Hakima E Kon O Makan Hain Zahra
Ishq Toheed Hai Toheed Ka Irfan Hain Yeh
Ishq Iqrar E Nabuwat Hai To Eqaan Hain Yeh
Ishq Hai Khunki E Dil Khoon Ka Doran Hain Yeh
Ishq Emaan Hai Emaan Ki Pehchan Hain Yeh
Apny Emaan Ko Tazabzub Sy Mubarra Na Kiya
Woh Kahin Ka Na Raha Jis Ny Tabarra Na Kiya
Ba Khuda Hakima E Kon O Makan Hain Zahra
Farz E Tehzeeb E Aqeedat Ko Nibhana Warna
Ek Riaaya Ki Tarha Sar Ko Jhukana Warna
Azmat E Madar E Hasnain Batana Warna
Bey Ijazat Dar E Zahra Py Na Ana Warna
Haq Ne Bakhshi Hai Jo Toqeer Woh Ja Sakti Hai
Malak Ul Maot Tujhy Maot Bhi Aa Sakti Hai
Ba Khuda Hakima E Kon O Makan Hain Zahra
Wah Kya Dar Hai Dar E Bint E Shehanshah E Umam
Yeh Sakhawat Yeh Atayen Yeh Shafa’at Yeh Karam
Yeh Hain Salman E Muqaddas Woh Suleiman E Hasham
Yeh Bulandi Yeh Bazurgi Yeh Falak Aur Yeh Hum
Sar Jhukaty Hain To Azmat Ka Safar Lagta Hai
Sar Uthaty Hain To Kosain Sy Sar Lagta Hai
Ba Khuda Hakima E Kon O Makan Hain Zahra
Tere Dar Par Tere Hubdar Kharhy Rehty Hain
Anbiya Aoliya Aotaar Kharhy Rehty Hain
Mere Jaise Bhi Gunehgar Kharhy Rehty Hain
Had Hai Yeh Ahmad E Mukhtar Kharhy Rehty Hain
Manzil E Sidra Py Jis Ko Na Jhijakty Dekha
Us Nabi Ko Teri Dehleez Py Rukty Dekha
Ba Khuda Hakima E Kon O Makan Hain Zahra
Mohr E Angusht E Wilayat Py Nageena Tera
Maalik E Mulk Ki Daolat Hai Safeena Tera
Turbaton Mein Jo Nihaan Hai Woh Khazeena Tera
Karbala Teri Najaf Tera Madina Tera
Riqqa O Mashhad O Kashan O Halab Tere Hain
Aasman Jitny Zameenon Py Hain Sab Tere Hain
Ba Khuda Hakima E Kon O Makan Hain Zahra
Hukm Jo Dy Diya Tu Ny Woh Nibhana Ho Ga
Khud Ko Hasnain Ka Khaiaar Batana Ho Ga
See Ky Malboos Ko Hasnain Kehlana Ho Ga
Tu Ny Jab Keh Diya Rizwan Ko Ana Ho Ga
Tere Aagy To Masheeiat Bhi Nahi Chal Sakti
Kuch Bhi Ho Jaye Teri Bat Nahi Tal Sakti
Ba Khuda Hakima E Kon O Makan Hain Zahra
Fatima Zahra Fatima Zahra