Reciter: Nadeem Sarwar

Saye Mein Sayeeda Kay Azadar Rahen Gay

Jab Ho Ga Sawa Naizay Pay Khursheed E Qayamat

Saye Mein Sayyeda Kay Azadar Rahen Gay

Barhta Hi Chala Jaye Ga Shabbir Ka Matam
Qaid Jo Gham E Sheh Ky Alamdar Rahen Gay

Saye Mein Sayyeda Kay Azadar Rahen Gay

Hum Qabr Mein So Jayen Gay Jab Bey Khabari Say
Matam Kay Nishan Rooh Mein Baidar Rahen Gay

Saye Mein Sayyeda Kay Azadar Rahen Gay

Ay Munkir E Matam Tu Kahan Jaa Ky Rahay Ga
Jannat Mein To Sarwar Ky Azadar Rahen Gay

Saye Mein Sayyeda Kay Azadar Rahen Gay

Ek Bar Zara Nam E Ali Lay Kay To Daikho
Mushkil Mein Madadgar Woh Har Bar Rahen Gay

Saye Mein Sayyeda Kay Azadar Rahen Gay

Zainab Ka Khulay Sar Bharay Darbar Mein Jana
Sajjad Isi Dard Say Beemar Rahen Gay

Saye Mein Sayyeda Kay Azadar Rahen Gay

Woh Mashk Ka Chidna Woh Sakina Ka Bilakna
Abbas Ky Seenay Pay Sada Waar Rahen Gay

Saye Mein Sayyeda Kay Azadar Rahen Gay

Rehan Mera Nama E Amaal Hai Noha
Parwana E Jannat Meray Ash’aar Rahen Gay

Saye Mein Sayyeda Kay Azadar Rahen Gay

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply