Reciter: Nadeem Sarwar
Waqiya Hai Pas E Qatal E Shah E Karbobala
Koi Na Moonis O Gham Khuwar Bibiyon Ka Raha
Sukoot E Sehra Mein Tapon Ki Goonj Uthi Sada
Ali Ki Beti Nay Barh Kar Utha Liya Naiza
Hisaar Torh Ky Nazdeek Aa Gaya ….
Tarhap Ky Sani E Zehra Pukar Uthi Ek Bar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Aa Gai Sham E Ghareeban Baba
Hum Huye Bey Sar O Samaan Baba
Lashay Maqtal Mein Hain Uryan Baba
Hai Safar Janib E Zindaan Baba
Ladli Aap Ki Hai Bey Chadar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Bhai Atthara Thay Koi Na Raha
Aap Ki Ladli Ban Mein Tanha
Khak Dalay Huye Sar Py Baba
Dekhiye Karti Hai Ab Aah O Buka
Hath Rakhta Nahi Koi Sar Par
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Sheh Ki Abbas Kamar Torh Gaye
Hum Say Pardais Mein Munh Morh Gaye
Gham Ky Toofan Mein Hamen Chorh Gaye
Rishta Har Dukh Say Mera Jorh Gaye
Dagh Seenay Ky Dikhaun Kiun Kar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Meray Akbar Ka Kalaija Chalni
Kar Gai Naiza E Khooli Ki Ani
Tha Jo Ham Shakal E Rasool E Madani
Us Ky Marnay Say Jo Is Dill Py Bani
Kaisay Batlaye Tumhen Yeh Muztar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Char Janib Say Chalay Teer O Tabar
Ho Gaya Tukrhay Hasan Ka Dilbar
Chuntay Thay Lash Ky Tukrhay Sarwar
Kehtay Thay Aao Madad Ko Haider
Lash Ko Rond Raha Tha Lashkar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Hath Malti Thi Tumhari Beti
Jab Churi Aon O Muhammad Pay Chali
Goud Khali Hui Baba Meri
Khoon Ka Sailab Tha Gham Ki Aandhi
Aap Nay Kaisay Woh Daikha Manzar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Kat Gaye Bazu E Abbas E Jari
Reh Gai Bali Sakina Pyasi
Khoon Say Qasim Nay Lagai Mehndi
Mang Ek Shab Ki Dulhan Ki Ujrhi
Kya Masayeb Hain Jo Tootay Hum Par
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Mar Ky Bhi Mashk Na Seenay Say Hati
Sath Abbas Ky Maidan Mein Rahi
Kehti Ho Jaisay Sakina Pyasi
Mashk Ammu Main Na Yun Lun Gi Kabhi
Layen Gay Aap Na Jab Tak Bhar Kar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Dekhiye … Woh Sar Naizon Par
Shimr Durra Liye Ata Hai Idhar
Kis Qadar Dard Bhara Hai Manzar
Toaq Mein Jakrha Sambhalay Langar
Janib E Sham Chala Ek Laghar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Sun Ky Faryad O Fughan Zainab Ki
Ro Ky Kehnay Lagi Beti Say Ali
Ponch Lay Ashk Na Ro Ay Beti
Main Teray Sath Hun Ay Kookh Jali
Jaun Ga Sath Tu Jaye Gi Jidhar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Jeeti Tu Har Gaye Bani E Shar
Kat Ky Bhi Ooncha Hai Shabbir Ka Sar
Qabza Abbas Ka Hai Dariya Par
Parcham E Deen Hai Teri Chadar
Tujh Py Qurban Meri Pyari Dukhtar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider
Majlis E Gham Mein Yeh Aah O Zari
Yun Hi Rehan Rahay Gi Jari
Umar Kat Jaye Isi Mein Sari
Maqsad E Zeest Hai Matam Dari
Noha Main Likhta Hun Bas Yeh Keh Kar
Baba Haider Baba Haider Baba Haider