Reciter: Nadeem Sarwar

Bayn Karti Hai Bali Sakina
Gham Say Phat Jaye Ga Us Ka Seena
Dard E Furqat Say Hai Woh Hazeena
Waa Hussaina Hussaina Hussaina

Bayn Karti Hai Bali Sakina
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Kaisi Gham Ki Ghata Aa Ky Chai
Ho Gai Sab Say Ban Mein Judai
Koi Pursa Nahi Ab Hamara
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Bayn Karti Hai Bali Sakina
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Aap Aaye Na Ammu Bhi Aaye
Khaimay Ahda Nay Aa Kar Jalaye
Jal Gaya Meray Bhaiya Ka Jhoola
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Bayn Karti Hai Bali Sakina
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Pas Hotay Jo Qasim O Akbar
Sar Say Chinti Na Zainab Ky Chadar
Itni Kartay Jafa Phir Na Ahda
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Bayn Karti Hai Bali Sakina
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Chonkay Ga Khaof Say Nanha Asghar
Pas Is Ky Na Madar Na Khuahar
Kis Qadar Hai Bhayanak Yeh Sehra
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Bayn Karti Hai Bali Sakina
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Koi Jaa Kar Yeh Asghar Say Keh Day
Hum Bhi Bhaiya Bahut Hain Pyasay
Pani Pao To Hum Ko Pilana
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Bayn Karti Hai Bali Sakina
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Thi Bahut Tum Ko Tashna Dahani
Paya Kya Tum Nay Ahdaa Say Pani
Kaisay Asghar Sukoon Ran Mein Paya
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Bayn Karti Hai Bali Sakina
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Jal Gaye Teray Kurtay Shalookay
Meray Bunday Sitam Gar Nay Cheenay
Khoon Kanon Say Hai Ab Bhi Behta
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Bayn Karti Hai Bali Sakina
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Sun Ky Bali Sakina Ky Nalay
Shaq Huye Bibiyon Kay Kalaijay
Labb Pay Tha Yeh Anees Aik Noha
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Bayn Karti Hai Bali Sakina
Wa Hussaina Hussaina Hussaina

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply