Reciter: Mesum Abbas

Ya Zehra…

Thak Gai Ro Ky To Khamosh Ho Gai Zehra
Zakhm Pehloo Mein Liye So Gai Zehra
Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Ay Madiney Walo Bara Dil Dukhaya

 

Batao Ahl E Madina Yeh Tum Ny Kya Hai Kiya
Nabi Ki Aal Sy Tum Ny Nibhai Khoob Wafa
Sitam Hai Umme Abeeha Ko Tum Ny Tarhpaya
Bulaya Bar Sare Darbar Haq Bhi Cheen Liya
Binte Mustafa Ko Kiun Lahu Rulaya
Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Aey Madiney Walo Bara Dil Dukhaya

Woh Beti Nazon Sy Pala Jisy Muhammad Ny
Kabhi Na Ghar Sy Nikala Jisy Muhammad Ny
Khadeeja Ban K Sambhala Jisy Muhammad Ny
Khud Apny Aap Mein Dhala Jisy Muhammad Ny
Nargha E Sitam Mein Kiun Usy Bulaya
Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Aey Madiney Walo Bara Dil Dukhaya

Tumhara Daawa Tha Hamdard Tum Rasool Ky Thy
Hadees E Pak Ky Paband Aur Usool Ky Thy
Tum Hi To Sehn E Nabuwat Mein Misl E Phool Ky Thy
Na Tum Nabi Ky Janazy Mein, Na Batool K Thy
Koi Bhi To Waada Tum Ny Na Nibhaya
Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Ay Madiny Walon Barha Dill Dukhaya

Chaly Gaye Woh Muhabbat Ky Daawedar Kahan
Chaly Gaye Woh Muhammad Ky Jan Nisar Kahan
Woh Jhooty Log Shariyat Ky Thaikedaar Kahan
Kaho Rasool Ki Beti Ka Hai Mazaar Kahan
Qabr E Sayeda Par Roshni Na Saya
Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Aey Madiney Walo Bara Dil Dukhaya

Sanad Ky Tukrhy Kiye Aur Gawah Jhutlaye
Batool Roiin To Is Py Bhi Aitraaz Aaye
Bas Aik Hujry Mein Rony Ka Izan Tha Haye
Nabi Ki Ladli Beti Ny Dukh Bahut Khaye
Ta Dam E Shahadat Is Qadar Sataya
Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Aey Madiney Walo Bara Dil Dukhaya

Qabr E Zehra Sy Yehi Aaj Bhi Ati Hai Sada
Kya Sitam Mujh Py Huye Tum Ko Bataun Baba
Mery Mohsin Ny Wiladat Ky Iwaz Pai Qaza
Zakhmi Pehloo Ko Liye Karti Rahi Main Noha
Aag Lay Ky Aaye Aur Ghar Jalaya
Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Aey Madiney Walo Bara Dil Dukhaya

Yeh Hai Hadees E Nabi Kiun Isy Bhulaya Hai
Kisi Ny Fatima Zehra Ko Gar Rulaya Hai
Samajh Lo Us Ny Muhammad Ka Dil Dukhaya Hai
Hai Khafa Payambar Bas Yeh Bt Keh Kar
Kiun Ghadeer Ki Tarah Yeh Qaol Bhi Bhulaya
Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Aey Madiney Walo Bara Dil Dukhaya

Ali Ko Qaidi Banaya Gaya Madiney Mein
Hasan Ko Zehr Khilaya Gaya Madiney Mein
Nabi Ky Ghar Ko Jalaya Gaya Madiney Mein
Bughz Ky Jalon Ko, Keena Parwaron Ko
Jab Shaheed Sayeda Hui To Chain Aaya
Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Aey Madiney Walo Bara Dil Dukhaya

Kahan Talak Woh Masaib Bayan Kary Mesum
Rasool Zadi Ky Matam Mein Soag Waar Hain Hum
Siyah Posh Hai Kaaba Udaas Hai Aalam
Farsh E Gham Bichaya Bint E Mustafa Ka
Mazhar Abidi Ny Ro Ky Marsiya Sunaya
Bara Dil Dukhaya, Han Bara Dil Dukhaya

Aey Madiney Walo Bara Dil Dukhaya

La’an Allah La’an Allah Ho Alaa Adooey Ky Ya Fatima

Hain Qaatilaany Sayeda Jahannumi Jahannumi
Jinhon Ny Ghar Jala Diya Jahannumi Jahannumi
Fidak Ky Chor Ki Saza Jahannumi Jahannumi
Muqassir E Aza Wila Jahannumi Jahannumi

Lanati Hai Lanati Hai Lanati Hai Lanati
Hai Jo Bhi Dushman E Nabi Jahannumi Jahannumi
Hai Jo Bhi Dushman E Ali Jahannummi Jahannumi
Mukhalifeen E Matami Jahannumi Jahannumi
Hain Munkir E Aza Sabhi Lanati Lanati

La’an Allah Ho Alaa Adooey Ky Ya Fatima
La’an Allah Ho Alaa Adooye Ky Ya Fatima

Lanat Lanat Lanat
Lanat Lanat Lanat

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply