Reciter: Syed Raza Abbas Zaidi
Haye
Shabbir Kay Khaimay Mein Qayamat Ka Tha Manzar
Rukhsat Kay Liye Aye Jo Abbas E Dilawar
Jab Ro Chukay Abbas Ko Seenay Say Laga Kar
Bhai Ki Taraf Daikh Kay Kehnay Lagay Sarwar
Abbas Abbas Abbas Abbas
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai
Bhai Kay Liye Maot Hai Bhai Ki Judai Na Jaiye Bhai
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai
Abbas Mera Dill Ho Tum Hi Jan Ho Meri
Kya Meri Muhabbat Mein Kami Reh Gai Koi
Bhai Say Ziyada Tumhen Pyari Hai Tarai
Na Jaiye Bhai
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai
Ghurbat Mein Mujhay Chorh Kay Bhai Na Sidharo
Khuwahish Hai Meri Qabr Mein Tum Mujh Ko Utaro
Pardais Mein Ghurbat Hamen Kis Morh Pay Laai
Na Jaiye Bhai
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai
Pardais Mein Shabbir Ka Hai Kon Sahara
Bhai Na Milay Ga Mujhay Tum Jaisa Dobara
Kiun Chorh Kay Janay Ki Khabar Tum Nay Sunai
Na Jaiye Bhai
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai
Ghazi Meri Behnon Ko Barhi Aas Hai Tum Say
Zainab Ko Jo Dharas Hai Woh Ehsas Hai Tum Say
Tum Sath Ho Is Aas Pay Woh Aai Hai Bhai
Na Jaiye Bhai
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai
Sojao Gay Tum Bazu Kata Kar Lab E Dariya
Ammu Hain Kahan Mujh Say Yeh Poochay Gi Sakina
Masooma Na Seh Paye Gi Ammu Ki Judai
Na Jaiye Bhai
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai
Janay Lagay Abbas To Nazron Mein Thi Chadar
Rotay Huye Abbas Nay Daikha Tha Palat Kar
Jab Khaima E Kulsoom Say Awaz Yeh Aai
Na Jaiye Bhai
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai
Aya Nahi Phir Laot Key Saqqa E Sakina
Jab Gurz Laga Sar Pay Kaha Haye Sakina
Shabbir Chalay Khaimay Say Detay Thay Duhaai
Na Jaiye Bhai
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai
Dariya Pay Kamar Tham Kay Jab Pahunchay Sirhanay
Ghazi Say Kaha Ro Kay Shah E Karbobala Nay
Hai Aap Ki Furqat Nay Kamar Meri Jhukai
Na Jaiye Bhai
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai
Zeeshan O Raza Toot Gai Aas Haram Ki
Dam Torh Gaye Shah Ki Aghosh Mein Ghazi
Shabbir Yeh Kehtay Rahay Bhai Meray Bhai
Na Jaiye Bhai
Battis Baras Ka Sath Hai Na Chorhiye Bhai