Reciter: Hasan Sadiq

Zindan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai
Kya Qabr Ka Manzar Hai Ujala Na Hawa Hai

Zakhmi Hai Badan Sara Khoon Kanon Sy Jari
Rukhsar Bhi Neely Hain To Daman Bhi Jala Hai
Kya Qabr Ka Manzar Hai Ujala Na Hawa Hai

Zindan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai

Neend Ati Nahi Bachon Ko Jab Tak Na Ho Madar
Sath Is Ky Na Madar Na Baba Na Chacha Hai
Kya Qabr Ka Manzar Hai Ujala Na Hawa Hai

Zindan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai

Zindan Mein Kisy Bali Sakina Ny Pukara
Ek Lasha Sar E Karbobala Uthny Laga Hai
Kya Qabr Ka Manzar Hai Ujala Na Hawa Hai

Zindan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai

Abbas Chacha Ayen Gy Ghar Ly Ky Chalen Gy
Ab Zulm E Yazeedi Ka Bharam Toot Raha Hai
Kya Qabr Ka Manzar Hai Ujala Na Hawa Hai

Zindan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai

Khamosh Ho Kiun Kiun Nahi Baba Ko Bulati
Tareeki E Zindan Mein Yeh Zainab Ki Sada Hai
Kya Qabr Ka Manzar Hai Ujala Na Hawa Hai

Zindan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai

Main Bali Sakina Ka Azadar Hun Rehan
Nohay Ka Har Shair Sakina Ki Ata Hai
Kya Qabr Ka Manzar Hai Ujala Na Hawa Hai

Zindan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

This Post Has One Comment

  1. HASHIM Shaikh

    Maula salamat Rakhe bohat Khoob

Leave a Reply