Reciter: Tejani Brothers

Haye Zainab, haay haay zainab, haaye zainab, haaye zainab

(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x3

1. (Phool ashko ke kafan) x2 chadar ka layi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

2. (Dekh ay mazloom bhayi, ay mere be sar Hussain) x2
(Sar tera ehle sitam) x2 se cheen layi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

3. (Teri majlis ki binaa mei daal ayi shaam mei) x2
(Tujpe rone ke liye) x2 zindaa(n) se ayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

4. (Kehti thi Abbas ke lashe pe aake nawha ghar) x2
(Bhayi tere baad to) x2 khu(n) me nahayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

5. (Mene tere halk per chalti huwi dekhi hai tegh) x2
(Dil jigar zakhmi hai sab) x2 gham ki sataayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

6. (Lashaaye Shabbir se aati thi ye peyham sadaa) x2
(Yu(n) na ro tere liye) x2 maghmoom bhayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

7. (Karbala se shaam tak tha me tere saath bahan) x2
(Chot jo tere laghi) x2 wo mene khayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

8. (Lashaye Abbas tarpa dekh kar ye haal zaar) x2
(Neel shaano par liye) x2 jis waqt ayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

9. (Bhayi se kehti thi tere abid-e-bimaar ko) x2
(Tera lasha dafn karne) x2 saath layi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

10. (Lashaye “Shabbir” se ati thi awaaz “Rehan”) x2
(Amma meri laash par) x2 rone ko ayi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

11. (Phool ashko ke kafan) x2 chadar ka layi hai bahan
(Bekafan bhayi ka chehlum karne ayi hai bahan) x2

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply