Reciter: Mir Hasan Mir
Haye Akbar Haye Akbar
Aiina Aiina Ali Akbar
Haye Akbar Haye Akbar
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
Koi Mujhy Bata Dy Lasha Kahan Parha Hai
Akbar Mera Kahan Hai
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
Dill Par Meri Behan Ky Khanjar Chala Diya Hai
Kis Ny Hamary Ghar Ka Sooraj Bhuja Diya Hai
Din Mein Andhera Meri Ankhon Mein Ho Gya Hai
Akbar Mera Kahan Hai
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
Pyasy Ko Bey Watan Ko Itna To Mat Satao
Chal Chal Ky Thak Gaya Hun Logo Mujhy Batao
Ab Aur Kitna Baqi Maqtal Ka Faasla Hai
Akbar Mera Kahan Hai
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
Ghazi Ko Tum Ny Mara Main Chup Raha Na Bola
Akbar Ko Mara Naiza Main Chup Raha Na Bola
Tum Sy Sawal Kar Lun Itna To Haq Mera Hai
Akbar Mera Kahan Hai
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
haye
Maan Ko Baghair Dekhy Beta Guzar Na Jaye
Pahuncha Do Mujh Ko Jaldi Mazloom Mar Na Jaye
Awaz Aa Rahi Hai Woh Hichki Ly Raha Hai
Akbar Mera Kahan Hai
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
Khaimy Sy Jab Chala Tha Kehti Thi Meri Behna
Pamaal Ho Na Jaye Akbar Ki Laash Bhaiya
Kaanon Mein Mery Ab Tak Ati Wohi Sada Hai
Akbar Mera Kahan Hai
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
Dill Betha Ja Raha Hai Rukty Nahi Hain Aansoo
Jangal Sy Aa Rahi Hai Us Ky Lahoo Ki Khushboo
Kuch Sansen Chal Rahi Hain Kya Shair Chal Basa Hai
Akbar Mera Kahan Hai
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
haye
Aulad E Mustafa Sy Kis Tarha Phir Gaye Ho
Karyal Jawan Ka Marna Asan Samajh Rahy Ho
Tum Log Hans Rahy Ho Dill Mera Ro Raha Hai
Akbar Mera Kahan Hai
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
Ahl E Haram Ki Akbar Umeed Akhri Hai
Kehti Hai Yeh Zaeefi Mera Asaa Yehi Hai
Ab Do Qadam Bhi Chalna Dushwar Ho Gya Hai
Akbar Mera Kahan Hai
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
Ghurbat Hai Aur Takallum Ibne Shah E Najaf Hai
Koi Bola Is Taraf Hai Koi Bola Us Taraf Hai
Akhir Pukary Mola Ghazi Tumhen Pata Hai
Akbar Mera Kahan Hai
Betay Ky Qatilon Sy Ek Bap Poochta Hai
Haye Akbar Haye Akbar Haye Akbar Haye Akbar