Reciter: Mir Hasan Mir
Haye Beti Ali Ki
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Zakhm Khany K Liye Aansoo Bahany K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Waris E Tatheer Bey Parda Kharhi Hai Dasht Mein
Aik Chadar Bhi Nahi Hai Sar Chupany K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Lai Thi Do Phool Apni Goud Mein Umme Rubaba
Aik Maqtal K Liye Ek Qaid Khany K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Dhundny Nikly Hain Aada Pusht E Khaima Ki Taraf
Lasha E Bey Sheer Naizey Par Uthany K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Nok E Naiza Par Utha Kar Sham Ky Bazar Mein
Shimr Lehrata Tha Chadar Dill Dukhany K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Aty Jaty Jis Ko Dekho Zulm Karta Hai Shadeed
Pusht E Abid Reh Gai Hai Tazianey K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Bar Ha Zainab Hai Guzri Sham Ky Bazar Mein
Sayed E Sajjad Ko Zinda Bachany K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Haye
Roty Roty Ja Rahi Hai Bachi Sooye Alqama
Neel Rukhsaron Ky Ghazi Ko Dikhany K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Gir Ky Akbar Ny Sada Di Jab To Zainab Ny Kaha
Bhai Main Bhi Chal Rahi Hun Lash Uthany K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Mangny Aya Hai Bachi Ko Kaneezi Mein Laeen
Ab To Aa Jao Mery Ghazi Bachany K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye
Thar Thara Kar Reh Gai Qabr e Nabi Yasir Raza
Aai Jab Roodad e Gham Zainab Sunanay K Liye
Reh Gai Beti Ali Ki Gham Uthany K Liye