Reciter: Farhan Ali Waris

Haye

Lash Par Mazloom Bhai Ki Jab Aai Thi Behan
Aankh Say Aansu Rawan Thay Aur Tha Labb Par Sukhan

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Teeron Say Jis Ka Sara Badan Pash Pash Hai
Bhai Hussain Kia Yeh Tumhari Hi Laash Hai

Amman Nay Jeeta Jee Jisay Ronay Nahi Diya
Ranj O Alam Koi Bhi Uthanay Nahi Diya
Had Hai Keh Dhoop Mein Bhi Nikalnay Nahi Diya
Amman Nay Jis Ko Kaanta Bhi Chubhnay Nahi Diya

Teeron Say Jis Ka Sara Badan Pash Pash Hai
Bhai Hussain Kia Yeh Tumhari Hi Laash Hai

Tan Par Jo Ek Libas Tha Woh Tar Tar Hai
Zakhmon Say Jism Hi Nahi Dill Bhi Figaar Hai
Har Teer Teray Jism Ka Khud Soagwar Hai
Is Lash Par Ghareeb Behan Ki Pukar Hai

Teeron Say Jis Ka Sara Badan Pash Pash Hai
Bhai Hussain Kia Yeh Tumhari Hi Laash Hai

Qurban Teri Lash Par Ay Jan E Sayeda
Afsos Teri Lash Pay Sar Bhi Nahi Raha
Yeh Hal Tera Daikh Ky Karti Hun Main Buka
Behti Hai Meri Ankh Say Ashkon Ki Alqama

Teeron Say Jis Ka Sara Badan Pash Pash Hai
Bhai Hussain Kia Yeh Tumhari Hi Laash Hai

Abbas Ko Bulaun Ya Akbar Ko Dun Sada
Tum Nay Uthaya Dasht Mein Lasha Har Aik Ka
Lasha Uthaun Main Tera Mazloom E Karbala
Lekin Ghareeb E Nainawa Mujh Ko Yeh Tu Bata

Teeron Say Jis Ka Sara Badan Pash Pash Hai
Bhai Hussain Kia Yeh Tumhari Hi Laash Hai

Pala Tha Maan Nay Kya Tumhen Is Din Kay Wastay
Maqtal Ki Garm Rait Par Tarhpo Gay Pyaas Say
Bey Reham Log Lay Gaye Sar Tan Say Kat Kay
Pehchanu Kaisay Lash Ko Tu Hi Bata Mujhay

Teeron Say Jis Ka Sara Badan Pash Pash Hai
Bhai Hussain Kia Yeh Tumhari Hi Laash Hai

Farhan O Mazhar Abidi Kaisay Karen Bayan
Karbobala Ky Dasht Mein Lashon Kay Darmiyan
Is Bey Kasi Py Ro Parhi Makhdooma E Jahan
Thi Lasha E Hussain Pay Zainab Ky Jab Fughan

Teeron Say Jis Ka Sara Badan Pash Pash Hai
Bhai Hussain Kia Yeh Tumhari Hi Laash Hai

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply