Reciter: Umair Zubair

Nazar Mein Shehar E Nabi Ka Manzar
Basa Hua Hai Basa Rahy Ga

Bas Un Ki Yadon Sy Dill Ka Aangan
Saja Hua Hai Saja Rahy Ga

Mujhy Khazaon Ka Dar Nahi Hai
Gadaye Aal E Rasool Hun Main
Karam Ky Phoolon Sy Mera Daman
Bhara Hua Hai Bhara Rahy Ga

Suno Tumhen Wapsi Mubaraik
Mera Koi Poochy To Batana
Keh Woh Wahi Hai Un Hi Ky Dar Par
Parha Hai Parha Rahy Ga

Hazar Toofan Ayen Lekin
Hamary Dill Mein Qasam Khuda Ki
Charagh Un Ki Muhabbaton Ka
Jala Hua Hai Jala Rahy Ga

Sohail Farooqi Zindagi Bhar
Main Geet Gaun Ga Mustafa Kay
Sana E Sarkar Mein Mera Dill
Laga Hua Hai Laga Rahy Ga

Nazar Mein Shehar E Nabi Ka Manzar
Basa Hua Hai Basa Rahy Ga
Bas Un Ki Yadon Sy Dil Ka Angan
Saja Hua Hai Saja Rahy Ga

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply