Reciter: Farhan Ali Waris

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Bhara Ghar Luta Sar E Karbala Hai Jan E Nabi Qateel E Jafa

Madiny Sy Jab Chala Qafila
To Mehmil Bhi Thi Kajawa Bhi Tha
Thy Abbas Bhi Aur Shabeeh E Nabi
Thi Sayedanion Ky Sar Py Rida
Sitam Kya Hua Yeh Dekho Zara
Keh Sayedanian Huiin Bey Rida

Bhara Ghar Luta Sar E Karbala Hai Jan E Nabi Qateel E Jafa

Yehi Soch Kar Pareshan Hun Main
Main Jab Laot Kar Watan Jaun Gi
Teri Muntazir Jo Bemar Hai
Usy Kis Tarah Yeh Samjhaun Gi
Na Akbar Rahy, Na Abbas Hain
Na Asghar Rahy, Na Baba Tera

Bhara Ghar Luta Sar E Karbala Hai Jan E Nabi Qateel E Jafa

Mila Tha Jahan Sy Deen E Khuda
Usi Ghar Ko Aag Jalaya Gaya
Yeh Kaisa Sitam Hua Karbala
Payambar Ko Bhi Rulaya Gaya
Aseer E Bala Huye Gham Zada
Zameen Kaanp Uthi Falak Ro Diya

Bhara Ghar Luta Sar E Karbala Hai Jan E Nabi Qateel E Jafa

Jaly Is Tarha Hussaini Khayyam
Zameen Sy Gaya Falak Par Dhuwan
Rasan Hath Mein Jo Bandhi Gai
Tarhapny Lagi Sabhi Bibian
Ghamon Ki Nahi Koi Inteha
Yahin Sy Shuru Safar Sham Ka

Bhara Ghar Luta Sar E Karbala Hai Jan E Nabi Qateel E Jafa

Safar Ki Khabar Jo Laya Shaqi
To Kehny Lagi Yeh Binte Ali
Raha Bey Kafan Mery Bhai Tu
Behan Bhi Teri Ujarh Kar Chali
Mera Qafila Hua Noha Khuwan
Mera Sarebaan Hai Zain Ul Ibaa

Bhara Ghar Luta Sar E Karbala Hai Jan E Nabi Qateel E Jafa

Tery Qatal Ka Hai Sadma Barha
Mujhy Qaid Ka Koi Gham Nahi
Sar E Raah Main Chalun Bey Rida
Qayamat Sy Yeh Sitam Kam Nahi
Sitam Par Sitam Sahy Qalb Par
Labon Par Magar Hai Shukr E Khuda

Bhara Ghar Luta Sar E Karbala Hai Jan E Nabi Qateel E Jafa

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply