Reciter: Syed Ali Deep Rizvi

Sallallah O Alaika Ya Fatima Tu Zahra

Inna Aataina Kal Kausar

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Labbaika Ya Zahra Labbaika Ya Zahra

Jan E Nabi Shan E Nabi Ishq E Ali Noor E Jali
Umme Hasnain Umme Zainab Umme Mehdi Umme Nabi

Inna Aataina Kal Kausar

Ya Zahra

Labbaika Ya Zahra Labbaika Ya Zahra

In Sy Na Afzal Na Koi Aala
Yeh Zahra Jin Ko Muhammad Ny Pala
Khuda Ki Ibadat Hai In Ka Hawala
In Hi Ki Badolat Jahan Mein Ujala
Yeh Raziya Hain Bahaya Yeh Marziya Hain Bawafa

Inna Aataina Kal Kausar

Ya Zahra

Labbaika Ya Zahra Labbaika Ya Zahra

Ismat O Azmat In Ki Juda Hai
In Ki Tahaarat Ka Khaliq Gawah Hai
Qurat Ul Aini Yeh Mustafa Ki
In Ki Riza Mein Rab Ki Riza Hai
Yeh Aalima Yeh Zahida Muhaddisa Yeh Sayeda

Inna Aataina Kal Kausar

Ya Zahra

Labbaika Ya Zahra Labbaika Ya Zahra

Yeh Fakhr E Maryum Yeh Fakhr E Sara
Yeh Mushkilon Mein Sab Ka Sahara
Yeh Mustajab E Dua Ka Hai Mehwar
Inhen Mushkilon Mein Nabi Ny Pukara
Yeh Meharban Hain Har Jaga
Paya Laqab Umme Abeeha

Inna Aataina Kal Kausar

Ya Zahra

Labbaika Ya Zahra Labbaika Ya Zahra

Nahi Do Jahan Mein Koi In Ka Sani
Fazeelat E Zahra To Hai Jawidani
Yeh Hai Khas Neymat Khuda Ki Jahan Mein
Yeh Ajar E Risalat Ki Hai Roshan Nishani
Yeh Wasita Jis Ny Diya Poori Hui Us Ki Dua

Inna Aataina Kal Kausar

Ya Zahra

Labbaika Ya Zahra Labbaika Ya Zahra

Maqsad E Zahra Difaa E Wilayat
Rabb Ko Pasand Hai Aisi Qayadat
Jis Mein Itaat Hukm E Khuda Ki
Zahra Ny Ki Hai Aisi Ibadat
In Ki Sada Haq Ki Sada
In Sy Hi Hai Deen Ki Baqa

Inna Aataina Kal Kausar

Ya Zahra

Labbaika Ya Zahra Labbaika Ya Zahra

Aulad E Zahra Rehbar E Deen Hai
Paish E Nazar Jin Ky Deen E Mubeen Hai
Seerat E Zahra Py Chal Rahy Hain
Yeh Haq Hai Is Py Kamil Yaqeen Hai
Taghootiat Sy Aashna Rabb Py Hai Adrikni Ya Zahra

Inna Aataina Kal Kausar

Ya Zahra

Labbaika Ya Zahra Labbaika Ya Zahra

Shukr E Khuda Hun Pairoo E Zehra
Sochon Py Meri Hai Haq Ka Pehra
Likhta Ali Deep Izn E Zahra Say
Is Ghar Sy Is Ka Rishta Hai Gehra
Barson Sy Yeh Jo Likh Raha
Bibi Ki Hai Is Ko Ataa

Inna Aataina Kal Kausar

Ya Zahra

Labbaika Ya Zahra Labbaika Ya Zahra

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply